Shuru Karte hai Chapter 61 : Branch/Division Group in Tally Hello & Welcome to My Website TallyClass.com Let’s Begin the Chapter
Chapter 61 : Branch/Division Group in Tally
to Dosto is Chapter me ham Branch/Division Group ke Bare me Samjhenge is Group ko Waha Par kaam me Liya Jata hai Jaha par kisi Company ki Alag Alag Jagah par 2 Ya 2 se Jyada Braches hoti hai.
For Example Ek Company Hai – ABC Company Pvt Ltd. iska main Head office Jaipur me hai aur Iski 2 Alag Alag Branches hai.
- ABC Company Pvt Ltd Jodhpur Branch
- ABC Company Pvt Ltd Nagaur Branch
Jaipur Head Office me Jo Accounting ka kaam Karega usko Tally me 2 Branches banani padegi Kyunki Jodhpur & Nagaur me Jo Branches hai Uska Paisa Jaipur Branch me Aayega.
aur Agar Paiso ki jarurat padti hai to Head Office se Dono Branches ko Paisa jayega
Branch/Division Group me Kaun Kaun se Ledger bante hai.
Jaha par bhi Company ki Main Head Office hai Waha Par tally Software me Branches ke Ledger banaye Jate hai jaha Jaha Bhi Company ki Branches Bani huwi hai Jaise –
Sr. No. | Ledger name | Group Name |
---|---|---|
1 | ABC Company Jodhpur Branch | Branch/Division |
2 | ABC Company Nagaur Branch | Branch/Division |
3 | ABC Company Bikaner Branch | Branch/Division |
4 | ABC Company Jaisalmer Branch | Branch/Division |
to Simply badi Badi Companies me is Group ki jarurat padti hai Chhote Level par jo kaam kiya jata hai waha par is group ki jarurat nahi padti
Branch/Division Group Ka nature Kya Hota hai.
Kisi bhi Branches me Jo bhi maal Pada hai, Jo udhar ka paisa pada hai, Jo paise hamne Waha par Diye huwe hai, Ya Waha par Jo Bhi Sampati Padi hai wo Sab Head Branch ki Sampati hai
Is basis par Branch/Division Group ka nature Asset ka hota hai.
Ummid karta hu ki aap sabhi logo ko ache se samajh me aaya hoga
is Chapter ke PDF me Notes aap Di gai link se Download Kar Sakte hai
Dusre kisi bhi Chapter ko Aap Di gai link se padh Sakte hai.