Chapter 53 : Sundry Creditors Group in Tally

Hello & Welcome to my Website TallyClass.com to ab Shuru karte hai Chapter 53 : Sundry Creditors Group in Tally & Let’s Begin –

sundry creditors group

Chapter 53 : Sundry Creditors Group in Tally

Sundry Creditors ka Hindi me Arth hota hai Lendar. Yani Wo Log jo Hamse paisa Mangte hai wo Sabhi Hamare Lendar hai.

Ab Yaha par ek Sawal hai ki Koi Hamse Paisa Kyu Mangega to yaha Par 2 Reason ho Sakte hai.

  1. Kisi se Hamne Udhar Maal Kharida hoga – Agar kisi se Hamne Udhar me Maal Kharida hai to wo Kabhi na kabhi hamse Rupye Mangega Isliye wo Hamara Lendar hai.
  2. Ya fir Kisi se hamne Rupye Udhar Liye Honge – Agar Kisi se Bhi Hamne Rupye Udhar liye hai to wo kabhi na kabhi Wo Rupye Wapas Mangega Isliye wo Bhi Hamara Lendar hai

Difference Between Sundry Creditors & Loan Liability

Ab kai Log ye bhi Sochte hai ki Jinse Ham Udhar lete hai Use Unsecured Loan ke Group me Dalenge Sundry Creditors Group me Kyu ?

to Yaha par main Unsecured Loan & Sundry Creditors Group me Fark Bata Deta hu.

  1. Loan use Kehte hai Jo Lambe Samay Tak Chalta hai, Jo Bade Amount me Hota hai aur jiska Byaz Dena Padta hai.
  2. Jabki Udhar Ka matlab hota hai Kuch Rupye kuch Time ke liye Udhar Lena – Yani Maan Lijiye Hamne Kisi Dost se 20000 Rs. 15 din ke liye Udhar liye.to is Tarah se jo paise liye jate hai use Loan nahi Kehte udhar Kehte hai.

I hope ki Aap Sabhi logo ko Samajh me Aa Gaya hoga

 

Sundry Creditors Group me Kaun Kaun se Ledger Bante hai.

to is Group ke Under me Yahi Kahunga ki 2 Tarah ke Ledger Banenge.

  1. Wo Jinse Ham Udhar Maal Leke aate hai
  2. Wo Jinse ham Udhar Rupye Leke aate hai.

Ye Common Ledger hai Jo is Group me Bante hai aur bhi Dusre ledger Hote hai Jo is Group me Banaye Ja Sakte hai.

 

Sundry Creditors Group ka Nature Kya hota hai.

Jaise ki maine Bataya Sundry Creditors ka Matlab hota hai Lendar Yani wo log jo Hamse paise Mangte hai. Man lijiye Sohan Ham se 15000 Rs. Mangta hai.

To hamare Paas Sohan ke 15000 Rs. Pade hai wo Jo hame Kabhi na kabhi use Dene hai Ye Hamari Jimmedari hai Yani Liability hai.

Is Basis par is Group ka nature Liability ka Hota hai.

 

Is Chapter ke PDF Me Notes Di Gai link se Download Kar Sakte hai

Download PDF Here

 

Baki ke Chapter Padhne ke liye di gai Link par Click Kare

Chapter 1-10 of Tally Course

Chapter 11-20 of Tally Course

About Afzal2524

Full Tally Course with GST free of Cost. Dedicated to Serve Education in India. Join Me If You Want to Be an Accounting Expert And Watch all my Video and post to my Website & My Youtube Channel

Check Also

depriciation in hindi

What is Depreciation in hindi

What is Depreciation in Hindi Depreciation ka hindi me arth hota hai mulya has Arthart …

One comment

  1. Assalamalykum sir.Mera naam Irshad hai.from Ranchi.sir main aap ke saat kaam karna chata hu.plzz help me sir.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *