What is Voucher in Tally & Types of Voucher in tally

Hello & Welcome to my Website TallyClass.com & Chapter 12 : of my Course What is Voucher in Tally & Types of Vouchers in tally

Chapter 12 : What is Voucher in Tally & Types of Voucher in Tally

Tally ko practically ham pichle 3 Chapter se Shuru Kar Chuke hai Lekin koi Bhi Entry karne se Pehle ya aage badhne se pehle hame tally me 3 topic ke baare me abhi bhi samajhna jaruri hai.

  1. Vouchers
  2. Ledgers
  3. Groups

Tally me ye 3 chize kya hoti hai aur inka kya use hota hai ye jan na jaruri hai to filhal ham is Post me Voucher ke baare me samjhenge.

Definition of Voucher

Chalte hai us Jamane me Jab Computer bahut hi kam hua karte the aur accounting software ka to naam hi nahi tha. Lekin tab bhi log accounting ka to kaam kiya hi karte the to us jamane me accounting ka kaam kaise hota hoga.

voucher in tally

Voucher ka matlab hota hai Aisa Paper Jispe kuch Likha jata ho.

Ab agar main business kar raha hu maal kharid bhi raha hu, bech bhi raha hu, Maal udhar bhi kharid raha hu aur udhar bhi bech raha hu. Kisi se payment le bhi raha hu aur kisi ko payment de bhi raha hu.

Ab itne saare transaction ho rahe hai main inhe kai likhunga nahi to mujhe kaise pata chalega ki mere business me kya ho raha hai. Mujhe Udhari ka pata kaha se chalega.

To inhi sab len den ko ka hisab rakhne ke liye Log Alag alag khata register me alag alag hisab rakhte the.

Jaise maal kharida to uske liye alag register, Maal becha to uske liye alag register, Kisi ko maal udhar diya to uske liye alag register. Maal udhar liya uske liye alag register.

To inhi Register ko Voucher kaha jata hai yaani wo Prati jispar kuch likha jata ho.

Accounting Software

Ab jamana ho gaya hai Digital Accounting ka kaam aasan karne ke liye Kai Accounting Software aa Chuke hai. Unhi me se ek software hai Tally ERP9

what is voucher in tally erp9

Aur Tally ERP9 me bhi In Sabhi Alag alag Tarah ke Len Den ko Rakhne ke liye Alag Alag Vouchers hote hai Jise Tally ki Language me Accounting Vouchers Kehte hai.

To Ab alag alag Register Rakhne ki Bajaye Tally ERP9 me sidhe hi Vouchers me Entry karke Wo Sab Hisab Itni Aasani se Rakha Ja Sakta hai Jise Rakhne ke liye logo ko bahut jyada mehnat karni padti thi.

Aur hath se accounting karne wale bahut kam accountant hua karte the aur aaj Inhi Accounting Software ki wajah se Kai Logo ko Accounting Sikhne ka bhi Aur Accounting ka kaam badi aasani se karne ka mauka mila hai.

To Jaisa ki maine bataya Tally ERP9 me bhi vouchers hote hai Jise Accounting Vouchers kehte hai aur alag alag Entries ko Karne ke liye alag alag Vouchers hote hai To Ab Isi ke baare me detail me baat karte hai.

Types of Vouchers

Ek Business me kai tarah ke len den hote hai. Jaise

  1. Purchase of Goods – Yani Maal Kharidna.
  2. Sale of Goods – Yani Maal Bechna.
  3. Payment – Kisi ko Maal ki kharid ke Badle Payment Karna, Ya Salary Dene ke Badle Payment karna.
  4. Receipt – Kisi ko maal Bechne ke Badle Payment Lena ETC.

To in Sabhi Alag Alag Transaction ko Record Karne Ke liye Tally ERP9 me alag alag vouchers hote hai Jinhe Accounting Vouchers kaha Jata hai.

Waise Tally ERP9 me 22 Voucher Hote hai. Lekin Filhal Hamare Basic Course me Kewal 8 hi voucher aise hai jo hamare kaam aayenge. Baaki ke Vouchers aise hai jo badi badi Factories me hi kaam me liye jaate hai to filhal ham inhi 8 voucher ke baare me baat karenge Jo Is prakar hai.

  1. Purchase Voucher (F9) – Purchase ki entry karne ke liye purchase voucher ka use kiya jata hai yaani aapne kisi tarah ka koi bhi maal kisi se bhi kharida uski aapko entry karni hai to isi voucher me entry ki Jati hai aur F9 iska shortcut hai.
  2. Sales Voucher (F8) – Sales ke entry karne ke liye sales voucher ka use kiya jata hai yaani aapni kisi tarah ka koi bhi maal kisi ko bhi becha uski entry is voucher me hoti hai aur F8 iska shortcut hai.
  3. Payment Voucher (F5) – Jaisa ki naam se hi pata chal raha hai jab bhi ham kisi ko Nakad Ya Bank ke Dwara Payment karenge to uski entry is Voucher me hogi aur iska shortcut hai F5.
  4. Receipt Voucher (F6) – Iske bhi Naam se hi pata chal raha hai jab bhi hame kisi se nakad Rupye Ya Bank me Rupye Prapt honge to uski entry is voucher me hogi aur iska shortcut hai F6.
  5. Contra Voucher (F4) – is Voucher me kewal 3 hi tarah ki entry ki jaati hai pehli Apne Nakad Rupye Ko Bank me Jama karayenge Tab Dusri Apne Bank Khate se Nakad Rupye Nikalwayenge Tab aur Teesri Apne hi kisi ek Khate se apne hi kisi Dusre khate me paise jama karayenge tab Yani Cash To bank aur bank To Cash aur bank to bank ye 3 hi entries is voucher me hogi aur iska shortcut hai F4.
  6. Journal Voucher (F7) – Ham Purchase ki entry kewal Purchase ke voucher me hi kar sakte hai sales ke voucher me nahi usi tarah sales ki entry sales ke voucher me hi kar sakte hai purchase ke voucher me nahi isi tarah jitne bhi voucher hai usme wahi entry hogi jiske liye wo bane hai. Lekin Journal voucher 1 matr aisa voucher hai jisme kisi bhi tarah ki entry ki ja sakti hai Purchase ki sale ki payment ki ya receipt ki.
    Lekin jab Purchase, sales, Payment aur Receipt ke liye alag alag voucher bane huwe hai to Journal Voucher ka kya use hai Ye ham Aage course me sikhenge kyunki Yahi Main voucher hai jisme hame thodi mehnat karne ki jarurat hai baki sab me entry karna aasan hai is voucher me entry karne ke liye aapko Dr. or Cr. karna aana jaruri hai.
  1. Debit Note/Purchase Return (CTRL + F9) – Purchase ki entry karne ke liye purchase ka Voucher hai isi Tarah Jab ham kharida huwa maal wapas lota dete hai to uski entry Debit Note me ki Jaati hai jiska Shortcut hai CTRL+F9 ya agar hame kisi ke khate se paise kaatne ho to uski bhi entry Debit Note me ki Jaati hai Jo ham aage chalkar sikhenge.
  2. Credit Note/Sales Return (CTRL + F8) – Usi Tarah Jaise Sales ki Entry Sales ke voucher me ki jaati hai to hamare dwara becha gaya maal agar customer hame wapas lota deta hai to uski entry Credit note me hoti hai jiska shortcut hai CTRL + F8 ya agar hamare khate se koi paise kat ta hai to uski bhi entry credit note me hoti hai ise bhi ham aage chalkar sikhenge.

Higlights

To Dosto ye hai wo 8 Voucher jo hamare kaam aane wale hai Jo One By one Is Tarah  hai

  1. F4 – Contra Voucher
  2. F5 – Payment Voucher
  3. F6 – Receipt Voucher
  4. F7 – Journal Voucher
  5. F8 – Sales Voucher
  6. F9 – Purchase Voucher
  7. CTRL + F8 – Credit Note Voucher / Sales Return
  8. CTRL + F9 – Debit Note Voucher / Purchase Return

To Ab Tally ERP 9 me ye Voucher Kaha Hote hai Uske Liye aap Diya Gaya video Dekhe Jisme aapko Aasani se samajh me aa jayega

ummid karta hu ki aapko ache se samajh me aa gaya hoga ki voucher kise kehte hai aur inka kya use hai

Watch Video Fore More Details

Agar aapne abhi tak hamara Tally Course Join Nahi kiya hai to abhi join kar sakte hai.

Download PDF Notes Here

About Afzal2524

Full Tally Course with GST free of Cost. Dedicated to Serve Education in India. Join Me If You Want to Be an Accounting Expert And Watch all my Video and post to my Website & My Youtube Channel

Check Also

what is income tax return

What is Income Tax Return in Hindi

What is Income Tax Return in Hindi I am Pretty Sure ki aap sabhi ne …

5 comments

  1. Sir
    There is a confustion ek taraf to aap 11 hours mai telly sikha rahay Or dusri taraf 8 hours mai and tisri taraf aapnay alag say video etnay Sare bana rakhay hai telly ko he sikhnay k to mai kon sa video dekhu jaha say mujhay samjh aa jaye asani hai stem by tmatep walay ya ek saath 11 hour wlaya ya other koe because I am beginner sir Fresher hu accountancy mai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *