Chapter 55 : Direct Income Group in Tally

Badhte hai Agle Chapter ki Taraf – Chapter 55 : Direct income Group in Tally, Hello & Welcome to My Website TallyClass.com & Let’s Begin.

direct income group

Chapter 55 : Direct Income Group in Tally

Pehle Bata Deta hu ki iske bhi Tally me Alag Alag Naam se 2 Group hai jiska Matlab ek hi hai.

  1. Direct income
  2. Income (Direct)

in Dono ke Alag Alag Naam hai lekin Matlab ek hi hai Dono me se koi bhi Select Kar Sakte hai.

 

Types of Income

Jaise ki Hamne Last Chapter me samjha tha ki Business me aay 2 tarah ki hoti hai.

  1. InDirect Income – Jiske Bare me hamne Chapter 54 : indirect Income Group in Tally me samjha Tha
  2. Direct income –  aur is Chapter me ham direct Income ko Deeply Samjhenge to shuru Karte hai.

What is Direct Income

in short me aapko itna bata deta hu ki har wo aay jo mukhye business activity se hoti hai use direct income kehte hai.

For Example – Main Service Provider hu aur Alag Alag Tarah ki Services Deta hu Jaise

  1. Mobile Recharges Service
  2. D2H Recharges Service
  3. Electricity Recharges Service
  4. Mobile Repairing Services
  5. Visiting Card Printing Services
  6. Marriage Card printing Services

to yaha par aap Dekh Sakte hai ki Sabhi kaam alag alag hai lekin Business Ka nature ek hi hai aur wo hai Services ka aur mera Mukhye Business hi Service Provider ka hai.

to in Sabhi Alag Alag Services se jo Alag Alag aay hoti hai wo Sabhi Direct Income Kehlati hai.

Direct Income Group me Kaun Kaun se Ledger Bante hai.

to Simply wo Sabhi tarah ki Income jo Business Activity se hoti hai un Sabhi ke Ledger direct Income ke Group me Banye Jate hai Jaise –

Sr. No.Ledger NameGroup Name
1Mobile Recharges IncomeDirect Income
2Visiting Card Printing IncomeDirect Income
3Marriage Card Printing IncomeDirect Income
4Mobile Repairing IncomeDirect Income

inke Alawa bhi kai tarah ki income hoti hai Jinka Ledger is Group me Banta hai.

 

Direct Income Group ka Nature kya hota hai.

to Jaise ki Maine Bataya Tally ke Har Group ka 4 me se koi bhi 1 Nature hota hai.

  1. Liability
  2. Assets
  3. Expenses
  4. Income

to aap khud Samajhdar hai aur Dekhke pata laga sakte hai ki is group ka Nature kya hoga Fir Bhi Bata hi Deta hu is Group ka nature Income ka Nature hota hai jo ki is Group ke Naam se Aur Matlab dono se pata chalta hai.

 

Is Chapter ke PDF Notes Yaha se Download Kare

Download PDF Notes Here

 

Course ke Baki Chapter aap di Gai Links Par Click karke Padh Sakte hai.

Chapter 1-10 of Tally Course

Chapter 11-20 of Tally Course

About Afzal2524

Full Tally Course with GST free of Cost. Dedicated to Serve Education in India. Join Me If You Want to Be an Accounting Expert And Watch all my Video and post to my Website & My Youtube Channel

Check Also

depriciation in hindi

What is Depreciation in hindi

What is Depreciation in Hindi Depreciation ka hindi me arth hota hai mulya has Arthart …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *