Difference Between Income Tax and Sales Tax

Difference Between Income Tax and Sales Tax

income tax and sales tax

Kai Log income Tax aur Sales tax ke Bich me Kya Fark hota hai usko Nahi Jante hai aur Thoda Bahut Confuse hote hai ki Aakhir Income Tax Aur Sales tax me Kya Fark hota hai aur dono ke bich me fark kya hota hai aur mere khayal se jo fresher hote hai wo Yahi sochte honge ki Income Tax aur Sales tax dono Ek hi hai jabki Aisa nahi hai Dono Alag Alag tarah ke Tax hai Even Dono Ke Departement bhi Alag Alag hote hai. To Aayiye in Dono ke Bich me Fark ko Smajahte hai

Sales TaxIncome Tax
Aap Iske Naam se samajhne ki koshish kijiye Sales ka Matlab hota hai Bikri Arthart Sales Tax ka Matlab ho Gaya Wo Tax Jo Aapko Dwara Beche Jane Wale Product Par Lagta hai use Sales Tax Kehte hai.Income Tax ko Bhi Aap Iske name se hi samajh Sakte hai Income ka Matlab hota hai Aay Arthart Jo Tax hamari Total Income Par lagta hai use Income Tax kehte hai.
Sales Tax ko Ham GST bhi Keh Sakte hai arthart Goods & Service Tax Ya yun Kahe ki GST ka Dusra Naam hi Sales Tax hai aur GST Kya hota hai wo Main aapko Already Bata Chuka hu.Income Tax ka koi alternate Name nahi hota hai Income Tax ko Income Tax Return hi Kehte hai.
Jab ham Kisi Customer ko Maal Bechte hai to Customer Us Maal me Jo Bhi Hame GST Pay Karta hai Wo Tax hame Government ko Pay Karna Padta hai.Income Tax Return File Karne ke liye Kisi Firm Ke hone Ki Jarurat nahi hai aur na hi Aapko kisi Tarah ka Maal Bechne ki bhi Jarurat hai Aap Chahe jo Bhi kaam karte ho uske according aap apna income tax return file karwa sakte hai.
Sales Tax ko ham GSTR3B return File karte Waqt Pay Karte hai Agar Hamari Tax Liability Banti hai to Otherwise Pay Karni Ki Jarurat Nahi Padti

 

Income Tax ko Ham Saal me Kewal Ek hi Baar Pay Karte hai wo Bhi Financial Year Complete Hone Ke Baad aur Agar Hamari Income Taxable income hoti hai to Hi Income par Tax Pay Karna Padta hai Otherwise Nahi
Jo bhi ham Maal Kharidte ya GST ko koi bhi Len den Karte hai uska Pura Bio Data Sales Tax Department ke Paas hota hai.

GST Return me kisi Bhi Tarah ki Gadbadi ho Ya aapke Dwara GST ki Tax Chori ki Jati ho to Uski Karyawahi Sales Tax Department Dwara hi Ki Jati hai.

Jo Bhi ham Ek Saal me kamate hai aur kisi bhi tarah ki Sampati ka len den karte hai to uska Bio Data income Tax Department ke Paas hota hai.

Income Tax Return me kisi Bhi tarah ki Gadbadi ho ya aapke Dwara Income Tax Bharne me Chori Ki gai ho to uski Karyawahi Income Tax Department Dwara hi Ki Jati hai.

Jo Vyakti Kisi Tarah ka Business Chala Raha hai aur uska Business ya Firm GST me Registered hai to Usko GST Return bhi File Karne Padte hai aur Saal me Ek Baar income Tax Return Bhi File Karna padta haiWo Vyakti jiske paas koi firm nahi hai aur hai bhi to GST me Registered nahi hai to use GST Return File Karne ki Aavshyakta nahi hai aur income tax bhi apni Marji ke according file Karwa Sakta hai.

 

Download PDF Notes Here

About Afzal2524

Full Tally Course with GST free of Cost. Dedicated to Serve Education in India. Join Me If You Want to Be an Accounting Expert And Watch all my Video and post to my Website & My Youtube Channel

Check Also

depriciation in hindi

What is Depreciation in hindi

What is Depreciation in Hindi Depreciation ka hindi me arth hota hai mulya has Arthart …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *