Welcome to My Site and Tally shortcut keys PDF.
Ye Hamari Regular 3rd Post Hai Tally ERP 9 Shortcuts in Hindi Par and Previous do Post Me hamne
kai Behtreen Tally se related Shortcuts Key Dekhi.
Agar Aapne Wo post Nahi Dekhi To Aap tally Shortcut Part 1 and Tally shortuct Part 2 Bhi Dekh Sakte hai.
Without Wasting The Time Let’s Begin Part 3 Of Tally ERP 9 Shortcuts in Hindi
Tally ERP 9 Shortcuts in Hindi – Part 3
Tally Shortcut 1 – CTRL+Q
Agar Aapko Tally me Kisi Bhi Function Se Immediate Bahar Aana Hai to Aap keyboard Me CTRL+Q Press Karke Direct Tally Se Bahar Aa Sakte hai.
Jab Aap Kisi Entry Se Quit Karne Ke Liye Escape Press Karte Hai than Tally Yes and No Puchhta Hai.
Wahi Agar Aap Direct Entry Me CTRL+Q Press Kar Denge Than Aap Direct Us Entry se Bahar Aa Jayenge Mean Tally Aapse Yes Aur No Nahi Puchhega.
Tally Shortcut 2 – CTRL+END
Tally Shortcut Keys PDF me 2nd Shortcut hai CTRL+ END.
Maan Lijiye Ham Koi Ledger Create Kar Rahe hai and Ledger Ka naam De Dete Hai. Ab Mujhe Direct Niche Jaha Opening Balance Hota Hai Waha Par Aana Hai To Keyboard Me jaise Hi Main CTRL+END press Karunga To Main Direct Ledger Name Se Opening Balance Ke Section Me Aa Jaunga.
Mean Jahan Par Aapko Enter Enter Kai Baar Press Karke Opening Balance Ke Section Me Aana Tha Wahi Aapne Jaise Hi CTRL+END press Kiya Aap Direct Opening Balance Ke Section Me Aa Gaye.
Tally Shortcut 3 – ALT+C
Waise To ALT+C Shortcut Ka Alag Alag Use Hai. Lekin Main Jo Aapko bata Raha Hun Wo Kuch Is Tarah Hai.
Maan Lijiye Aap Kisi Party Ka Ledger Dekh rahe hai Yaani kitna Maal Kharida Aur Kitna Payment kiya Ab Immediate Agar Aapko Uska Address Aur GSTIN number Dekhna hai.
To Keyboard Me Jaise Hi Aap ALT+C Press Karenge To Jis Bhi Ledger Ki Aap Ledger Book Dekh Rahe Hai Uski Complete Detail Show Karega.
Tally Shortcut 4 – ALT+2
Tally Shortcut Keys me 4th number Par Jo Tally Shortcut Hai Wo Hai ALT+2 Yani Duplicate The Ledger.
Kisi Bhi Entry Ki Duplicate Entry Banane Ke liye Aap ALT+2 Press Karke Duplicate Entry Kar Sakte hai.
For Example Maan Lijiye ki Aapne Telephone Expenses Ki Ek Entry Ki Ab Isi Entry Ka Duplicate Banane Ke Liye Pehle Aapko Telephone Expenses Ki Ledger Book Open Karni Hai Fir Jo Entries Open Hogi Us Par ALT+2 Press Karna Hai Jis Se Usi Entry Ki Duplicate Entry Ban Jayegi.
Behtar Dhang Se Samjhne Ke liye Main Aapko Recommend Karunga Aap Ye Tally Shortcut Video Dekhe
Tally Shortcut 5 – CTRL+R
Tally Shortcut CTRL+R Use hota hai Voucher me kisi Ledger ko Repeat karne ke Liye jaise
Maan Lijiye Aap Koi Expenses Ki Entry Kar Rahe hai Payment Voucher me.
Jaise Dr. Me Aapne Liye Telephone Expenses 500 Rs. and Credit me Cash 500 Rs. And Narration Daal Diya Cash Paid To Ravi. Aur Ye Entry Aapne Save Kardi.
Ab Maan Lijiye Agar Aap Dubara Yahi Entry Karna Chahte hai To Dr. Me Agar Aap CTRL+R Press Karoge To Wahi Ledger Wapas Repeat ho Jayega Jo Aapne Pichhli Baar Entry Karte Waqt liya Tha.
Yani Telephone Expenses.
Aur Narration Me Aakar Ke Aap Agar CTRL+R Press Karoge To Wahi Narration Repeat Ho Jayega Jo Aapne Pichhli Entry Me Diya Tha Yaani Cash Paid To Ravi.
Behtar Dhang Se Samajhne Ke is Tally Shortcut ka video Aap Video Dekh Sakte hai.
Tally Shortcut 6 – ALT+R
Tally Shortcut ALT+R Jiska Matlab hai Repeat For Ledger
Agar Main Payment Voucher Me Pehli Entry Ye Karta Hun.
Dr. Telephone Expenses – 500 Rs.
Cr. Cash – 500 Rs.
Aur Narration Daal Diya – Cash Paid To Ravi.
Dusri Entry Ye Karta Hun.
Dr. Shop Rent – 500 Rs
Cr. Cash – 500 Rs.
Aur Narration Daal Diya – Cash Paid To Suresh
Ab Teesri Entry Wapas Mujhe Telephone Expenses Ki Karni Hai.
Dr. Telephone Expenses – 500 Rs.
Cr. Cash – 500 Rs.
Narration – Ab Agar Yaha Par Me CTRL+R Press Karunga To Wo Narration Aayega Jo Maine Pichhli Entry Me Diya Tha Yaani Cash Paid To Suresh.
Jabki Mujhe Narration Daalna hai Cash Paid To Ravi.
To Agar Main Yaha Par ALT+R press Karunga To Wo Narration Aayega jo Maine Shop Rent Ke Ledger Me Diya Tha Yaani Cash Paid To Ravi.
Behtar Dhang Se Samajhne Ke Liye Aap Video Dekh Sakte hai.
Tally Shortcut 7 – CTRL+SPACE
Maan Lijiye Ham Koi Expenses Ka Ledger Dekh Rahe hai jaise – Shop Rent
aur Is Ledger Book Me Jitni Entries hai Un Sabhi Ko Delete karna Chahta hu To Ledger Book me Aake Jaise Hi CTRL+SPACE Press Karunga To Saari Entries Ek Sath Select ho Jayegi
Aap Chahe To is Tally Shortcut ka Video bhi Dekh Sakte Hai.
Tally Shortcut 8 – ALT+I
Agar ham Kisi Party Ka Ledger Statement Check Kar Rahe hai Ledger Book Me Jaise – SG Emart Co. Ka
Aur yaha Par Hame Pata Chalta hai Ki Ek Payment Ki Ya Sales ki Entry Missing hai To Direct Wahi Se Kisi Bhi Voucher Ki Entry Karne Ke Liye ALT+I Press Kar Sakte hai Jise Direct Aap Voucher Me Aa Jaoge. Aur Jis Bhi Voucher Ki Entry Aapko Karni Hai Kar Sakte hai.
Tally Shortcut 9 – Copy & Paste
Number 9 par Ham Tally Shortcut Me Copy and Paste ke Baare me Baat karenge
Agar Tally Me Kisi Bhi Word Ko Copy Karne Ke Liye CTRL+ALT+C Press Karte Hai Aur Paste Karne Ke liye CTRL+ALT+V Press Karte hai.
I Hope Dosto Aap Sabhi Logo ko Meri Ye Post Jarur Jarur pasand Aayi Hogi.
Aur Jaisa ki Maine Aapko Bataya Ki Ye Meri Tally ERP 9 Shortcuts Series Ka 3rd Video hai 2 Video Me Pehle Hi Bana Chuka Hun Tally ERP 9 Shortcut Part 1 & Tally ERP 9 Shortcuts Part 2 Agar aap Dekhna Chahe To Dekh Sakte hai.
Agar Aap Tally Shortcut Keys PDF me Download Karna Chahte hai To Di Gai Link Par Click Karke Download Kar Sakte hai.
Link Updating Soon
Balance sheet me kitna profit huaa kitna loss kaise dekhe.
Profit and loss me kitna loss kitna profit kaise dekhe.
Interest calculation ka video banaye bhaiya please.
Please mere apse course karna hai please apke number or pta send karo please