to Ab ham Badhte hai Chapter 63 ki Taraf aur chapter 63 hai Current Assets Group in Tally Hello & welcome to my Website Tallyclass.com & let’s Begin.
Chapter 63 : Current Assets Group in Tally
Current Assets ka Hindi me Matlab hota hai Chalu Sampatiya are wo chalu nahi jo aap soch Rahe hai yaha par kisi dusre hi chalu ki baat ho rahi hai Just jocking 😊
Anyway yaha par Chalu Samapti se 2 matlab Liye Jate hai.
- Wo Sampatiya Jo Kabhi Ghat ti hai to kabhi Badhti hai aur Jo Chalti Rehti hai.
- Wo Sampatiya Jo Next 1 year me Kabhi bhi Nakad me Convert Ho jati hai.
Jaise Bank Balance Jo Meri Samapti hai Aaj Mere Bank Account me 1000 Rs. hai to kal 2500 Rs. bhi ho Sakte hai isi Tarah kabhi mere bank Balance Ghat jata hai to kabhi Badh jata hai ye to ho Gai Pehli Condition
aur Bank me jo Rupya Pada hai use Jaise hi bank se Nikal lete hai to wo Nakad me Convert ho jata hai ye Hui Dusri Condition
to Aisi koi bhi Sampati jo Kabhi Ghat ti hai to Kabhi badhti hai aur next 1 Year me kabhi bhi Cash me Convert ho Sakti hai wo Sab Current Assets hai.
Current Assets Group me Kaun kaun Se Ledger Bante hai.
To Dosto Current Assets jo hai na Wo Main Group hai isme Koi bhi Ledger banane ki jarurat nahi hai Lekin Iske Jo Sub Group hai jo Bhi Ledger Banane hote hai usi me bante hai. to ham ye Dekhte hai ki kaun kaun se Sub Group Current Assets ke Under Aate hai.
Sr. No. | Sub Group Name | Main Group |
---|---|---|
1 | Cash in Hand | Current Assets |
2 | Bank Account | Current Assets |
3 | Loan & Advances Assets | Current Assets |
4 | Sundry Debtors | Current Assets |
5 | Deposit Assets | Current Assets |
6 | Stock in Hand | Current Assets |
to aapko jo bhi ledger banane hai wo Sub Group me banane hai Current Assets ke Group me Koi Bhi Ledger Banane ki Jarurat nahi hai aur List me jo Samaptiya di huwi hai wo sab ke Sab aisi Sampatiya hai jo Kabhi Badhti hai to kabhi Ghat ti hai.
Current Assets Group ka Nature Kya Hota hai.
Mujhe lagta hai ye to batanae ki jarurat nahi hai kyunki Is Group ke naam me hi Assets Juda huwa hai aur ab tak jo hamne samjha hai us se bhi saaf pata chalta hai ki yaha par un sampatiyo ki baat ho rahi hai jo hamari sampatiya hai.
to is Basis par Current Assets Group ka Nature Assets ka hota hai.
Is Chapter ke PDF me Notes aap di Gai link se Download Kar Sakte hai.
Course ke Baki Chapter aap di gai Link Se padh Sakte hai.
Sir ji aap shi me jeniouse hain aapke maine tally course kiya hai but jo aapne sikhaya hai vaisa shayad hi kisi topper classes me sikhate honge .
Aapke ek ek video bhut acche se dekh rha hu aur jo doubt hain vo automatically clear ho rhe hai.
Aap stores ki puri process material ki po se lekar reception and dispatch ki puri video ko bhi dekhna chahta hu.
Aapke video sabhi ke liye bhut important hain
Thank you sir
thankyou sir
sir apki ek ek videos mast hai jaisa ap smjhate hai aisa koi nhi smjhata hai Alllah kamyabi apke Kadam ko chumti rahe
Bhai thanks aapka dhanyawaad kaise karu samjh nahi aata main telly shikna cahata tha but sheek nahi pa raha tha mujhe lagta tha ye bahut hi kathin h but jis tarah aapne samjhaya bhai maza aa gya h bilkul simple aur detail main samjha diya thanks bhai
Lockdown ka full fyada mil raha hai
Sir Me kaadi time se tally sekna chaa rha tha Aur seoha bhi but kbi samaj nhi paya Lakin bhai me aaj tally bahut hi Achhe se sek paya hu sirf aapke vje se hi bhai aapka bahut Bahut Tq bhai
Mera Name sunny Choudhary hai aur me up ke Muzaffarnagar city se hu
Sir aap jo sikhate hai aisa to koi Teacher nahi pada sakta.