to Ab ham Badhte hai Chapter 64 ki Taraf aur chapter 64 hai Current Liability Group in Tally Hello & welcome to my Website Tallyclass.com & let’s Begin.
Chapter 64 : Current Liability Group in Tally
Current Liability ka Hindi me Matlab hota hai Chalu Dayitv are Fir se Aap wo chalu Kyu Samajh rahe hai Pichle Chapter me main Kya Bataya Tha
Chalu Dayitv se matlab hota hai Wo Dayitv Jo Kabhi Ghat te hai to Kabhi Badhte hai aur Jo Next 12 Month me Hame Pay Karne Padte hai.
Jaise Lendar Jo Meri Liability yani dayitv hai Aaj Agar Mujhe Koi 5000 Rs. Mangta hai to kal 6000 Rs. ke bhi Lendar ho Sakte hai 3000 rs. De Dunga to 3000 Rs. aur Dene padenge aur Jo mere Lendar hai unko Rupye to Dene hi padte hai Chahe Ek mahine me Du ya 3 mahine me
to Aise Sabhi Dayitv jo Ghat te Badhte rehte hai Wo Chalu Dayitv Kehlate hai aur Jin Dayitv ko Aaj nahi to kal Chukana hi padta hai wo Sabhi Current Liability Kehlate hai.
Current Liability Group me Kaun kaun Se Ledger Bante hai.
To Dosto Current Liability bhi jo hai na Wo Main Group hai isme Koi bhi Ledger banane ki jarurat nahi hai Lekin Iske Jo Sub Group hai jo Bhi Ledger Banane hote hai usi me bante hai. to ham ye Dekhte hai ki kaun kaun se Sub Group Current Liability ke Under Aate hai.
Sr. No. | Ledger name | Group Name |
---|---|---|
1 | Sundry Creditors | Current Liabilities |
2 | Duties & Taxes | Current Liabilities |
3 | Customer's Advance Deposit | Current Liabilities |
to aapko jo bhi ledger banane hai wo Sub Group me banane hai Current Liability ke Group me Koi Bhi Ledger Banane ki Jarurat nahi hai aur List me jo Dayitv diye huwe hai wo sab ke Sab aise dayitv hai jo Kabhi Badhte hai to kabhi Ghat te hai.
Current Liability Group ka Nature Kya Hota hai.
Mujhe lagta hai ye to batanae ki jarurat nahi hai kyunki Is Group ke naam me hi Liability Juda huwa hai aur ab tak jo hamne samjha hai us se bhi saaf pata chalta hai ki yaha par un Rupyo ki baat ho rahi hai jo Hame kisi ko Dene hai.
to is Basis par is Group Nature Liability ka hota hai.
Is Chapter ke PDF me Notes aap di Gai link se Download Kar Sakte hai.
Course ke Baki Chapter aap di gai Link Se padh Sakte hai.