Badhte hai Agle Chapter ki Taraf – Chapter 57 : Direct Expenses Group in Tally, Hello & Welcome to My Website TallyClass.com & Let’s Begin.
Chapter 57 : Direct Expenses Group in Tally
Pehle Bata Deta hu ki iske bhi Tally me Alag Alag Naam se 2 Group hai jiska Matlab ek hi hai.
- Direct Expenses
- Expenses (Direct)
in Dono ke Alag Alag Naam hai lekin Matlab ek hi hai Dono me se koi bhi Select Kar Sakte hai.
Types of Expenses
Jaise ki Hamne Last Chapter me samjha tha ki Business me Kharche 2 tarah ki hoti hai.
- InDirect Expenses – Jiske Bare me hamne Chapter 56 : indirect Expenses Group in Tally me samjha Tha
- Direct Expenses – aur is Chapter me ham direct Expenses ko Deeply Samjhenge to shuru Karte hai.
What is Direct Expenses
in short me aapko itna bata deta hu ki har wo Kharche jo Business ko Bina Rukawat ke Chalane ke liye karne Padte hai aur jo Kharche mukhye business activity se jude huwe hote hai unhe Direct Expenses kaha jata hai.
For Example – Main Visiting card aur Marriage card printing ka kaam karta hu aur jis Machine se main card print karta hu wahi meri income ka mukhye Source hai Agar wo machine Kharab ho jati hai to mere Business me Effect padega matlab kaam me Rukawat aa jayegi
us machine ko Sahi karane me jo Kharcha Lagega wo Direct Expenses Kehlata hai.
Mukhya Taur par Direct Expenses in Companies me Jyada hote hai.
- Manufacturing Companies
- Construction Companies
- Services Provider Companies
to in Short main aapko bata deta hu ki wo sabhi kharche jo Agar ham na kare to Maal ki manufacturing me, Assembling me aur Services me effect padta hai aur Maal ke Production me Giravat aa Sakti hai use Direct Expenses kehte hai.
Direct Expenses Group me Kaun Kaun se Ledger Bante hai.
to yaha par aapko kewal isi baat ka dhyan rakhna hai ki direct expneses ke Group me wo Sabhi Kharche hai Jo Mukhye Business se Jude huwe hai Jaise –
Sr. No. | Ledger name | Group name |
---|---|---|
1 | Diesel & Petrol Used For Machines | Direct Expenses |
2 | Repairing Expenses for Machines | Direct Expenses |
3 | Wages for Goods Supplies | Direct Expenses |
4 | Factory Rent | Direct Expenses |
5 | Material Cost | Direct Expenses |
inke Alawa bhi kai tarah ke Kharche hote hai Jinka Ledger is Group me Banta hai.
Direct Expenses Group ka Nature kya hota hai.
to Jaise ki Maine Bataya tha ki Tally ke Har Group ka 4 me se koi bhi 1 Nature hota hai.
- Liability
- Assets
- Expenses
- Income
to aap khud Samajhdar hai aur Dekhke pata laga sakte hai ki is group ka Nature kya hoga Fir Bhi Bata hi Deta hu is Group ka nature Expenses ka Nature hota hai jo ki is Group ke Naam se Aur Matlab dono se pata chalta hai.
Is Chapter ke PDF Notes Yaha se Download Kare
Course ke Baki Chapter aap di Gai Links Par Click karke Padh Sakte hai.
One comment
Pingback: TallyClasses » Tally Course with GST Full & Free