Chapter 43 : Duties & Taxes Group in Tally

is Post me main aapko bataung Duties & Taxes Group in Tally ke Bare me aur is post me Main aapko Bataung ki Duties & Taxes kya Hota hai. aur is Group me Kaun Kaun se Ledger Bante hai. Most Welcome to My Website TallyClass. Let’s Begin the Chapter.

duties and taxes in tally

Chapter 43 : Duties & Taxes Group in Tally

To Dosto Jaisa ki Is Group ke Naam me hi Taxes Juda huwa hai to iske naam se hi pata chalta hai ki ye Group Purchase Sale Ya Service me Lagne Wale Tax se juda huwa hai.

aur Aaj ki Date me 3 Tarah ki Tax Category hai.

Sr. No.Tax CategoryRemarks
1GSTGoods & Service Tax - Jin Item Par 5%, 12%, 18% ya 28% GST Lagta hai.
2CessKuch Aise Item Hote hai Jinpar GST Tax ke Alawa Cess Tax bhi Lagta hai Jaise Tobacco & Pan Masala
3TDSKuch Aise Income hoti hai Jinpar TDS kata Jata hai. Jaise Commission se Hone Wali Income.

Yaha par Maine 1-1 Example hi Diya hai Aur Bhi Dusre Item hote hai Jinpar Cess lagta hai aur Aur bhi Dusri Income Hoti hai Jinpar TDS Lagta hai.

Duties & Taxes Group me kaun kaun se Ledger Bante hai.

to Ab Ham Ye Dekhte hai ki Duties & Taxes ke Group me Kaun Kaunse Ledger Bante hai

Sr. No.Ledger NameGroup Name
1SGSTDuties & Taxes
2CGSTDuties & Taxes
3IGSTDuties & Taxes
4CessDuties & Taxes
5TDSDuties & Taxes

 

Duties & Taxes Group Nature

Kisi Bhi Item ya Service Par Jo Tax lagta hai Ya Kisi bhi Income Par Jo TDS kata Jata hai wo Sarkar ko Pay karna Padta hai. To ye ham par liability hoti hai ki Jo Tax hamare pass Jama hai wo Sarkar Ko Pay Karna hai.

To Is Basis par Duties & Taxes Group ka Nature Liability ka Hota hai.

 

Is Chapter ke PDF Notes Aap Di Gai Link par Click Karke Download Kar Sakte hai.

Download PDF Notes Here

 

Dosto Ummid karta hu Ki Aap Sabhi ko Duties & taxes Group ke bare me Ache se Samajh me Aaya Hoga isi Tarah ke aur Chapter aap meri Website par Padh Sakte hai.

Ya Course ke Baki Chapter Ke Liye Di Gai Link Par Click Kare.

Chapter 1-10 of Tally Course

Chapter 11-20 of Tally Course

Post Achi Lage To Dosto ke Sath Share kare aur isi tarah ke aur knowledge ke liye aap website ke aur bhi Article Padh Sakte hai.

About Afzal2524

Full Tally Course with GST free of Cost. Dedicated to Serve Education in India. Join Me If You Want to Be an Accounting Expert And Watch all my Video and post to my Website & My Youtube Channel

Check Also

depriciation in hindi

What is Depreciation in hindi

What is Depreciation in Hindi Depreciation ka hindi me arth hota hai mulya has Arthart …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *