Badhte hai Agle Group ki Taraf jiska Naam hai Fixed Assets Group in Tally
aur is post me ham Fixed Assets Group ki Complete Detail Dekhenge Swagat hai Aapka TallyClass.com par & Let’s Get Started.
Chapter 44 : Fixed Assets Group in Tally
Fixed Assets ka Hindi Me Matlab hota hai Sthayi Samptiya yani wo Sampatiya jo hamare pass lambe samay tak rehti hai jo hamare lambe samay tak kaam aati hai aur jinhe long time tak badalne ki jarurat nahi padti Fixed Assets kehlati hai
ab kaun kaun si Assets Fixed Assets Group me aati hai ye Sab kuch ham Is post me Samjhenge.
Definition of Fixed Assets
Fixed Assets ko ham 3 Tarah se Samajh Sakte hai.
- Aisi Sampatiya jo Lambe samay Tak Upyog ke liye Kharidi jati hai Jinhe Bechne ki Jarurat nahi Padti
For Example – Makaan Jisme Ham Rehte hai aur Lambe Samay Tak Makan ek hi Rehta hai isliye Ise Sthayi Sampati kehte hai. - Aisi Sampatiya jo Lambe Samay Tak Business me Upyog ke Liye Kharidi jati hai Jaise Machine
Jab tak machine Sahi Kaam Karti Rehti hai Tab tak Machine ko Change Nahi kiya isliye ise Bhi Sthayi Sampati Kehte hai. - Aise Item Jo office ya dukan me use karne ke liye Kharide jate hai na ki bechne ke liye nahi
For Example Computer Bill Banane ke liye, AC Thandi Hawa Khane ke liye
to upar diye gaye teeno example se ye pata chalta hai ki ye sabhi wo sampatiya hai jo lambe samay tak rehti hai ya business me use ki jati hai.
Fixed Assets Group me kaun kaun se Ledger Bante hai.
Yaha Table me un Sabhi Ledger ke naam diye gaye hai Jinka Group Fixed Assets hota hai.
Sr. No. | Ledger Name | Group |
---|---|---|
1 | Land & Building | Fixed Assets |
2 | Plot | Fixed Assets |
3 | Furniture | Fixed Assets |
4 | Computer | Fixed Assets |
5 | Car | Fixed Assets |
6 | AC | Fixed Assets |
7 | Invertor | Fixed Assets |
8 | Plant & Machinary | Fixed Assets |
9 | Mobile | Fixed Assets |
10 | Laptop | Fixed Assets |
11 | Electric Equipment & Fitting | Fixed Assets |
12 | Cooler & Fan | Fixed Assets |
13 | CCTV Camera | Fixed Assets |
Inke Alawa bhi Dusre Kai Ledger hote hai Jo Fixed Assets ke Group me bante hai.
Fixed Assets Group Nature
Jaise ki Is Group ke Naam me hi Assets Juda huwa hai aur pure Post se hame ye saaf pata chalta hai ki jo Fixed Assets hoti hai wo Hamari Sampati hoti hai aur un par hamara hak hota hai
is Basis par Fixed Assets Group ka nature Assets hota hai.
Is Chapter ke PDF me Notes aap Di Gai Link se Download Kar Sakte hai.
Is Course ke Dusre Chapter Padhne ke Liye aap Di Gai Link par Click Karen
One comment
Pingback: TallyClasses » Tally Course with GST Full & Free