Welcome You All to my Website TallyClass & new Chapter of my Course How to Activate GST features in Tally
Chapter 11 : How to Activate GST Features in Tally
Dosto Agar Aapko Tally ERP9 me GST ka Kaam karna hai to pehle Tally ERP9 me GST ka Features Activate Karna padega Uske Baad me hi Aap Tally me GST ka use Kar paoge.
aur Activate karne ke liye Aapne Jis Bhi Firm ya Shop ki Company Tally me Banai hai uske GST number ki Jarurat hoti hai.
Diye Gaye Steps Follow Karke Aap Tally me aap is Features ko activate kar Sakte hai.
- Gateway of Tally par aapko Features Button par Click Karna hai Ya Fir Aap Keyboard me Iska Shortcut F11 bhi press kar Sakte ho
- iske Baad Aapko Statutory & Taxation Par Click Karna hai Ya Keyboard me Shortcut S bhi Press Kar Sakte ho Aur F3 bhi Press Kar Sakte ho.
- Iske Baad aapko Diye gaye 2 Option ko yes karna hai Aur Yes karne ke liye aap waha par Y Type karke Enter kar Sakte hai.
- Jab aap Dusre wale Option Set Alter GST Details ko Yes karke Enter Karoge To Kuch Is Tarah ki Window Open Hogi jisme Aapko Company ke GSTIN number Daalne hai aur Baaki Ki information photo Ke Anusar rakhni hai.
- Di Gai Saari Information Daalne ke Baad Aakhir Tak Aapko Enter Dabana hai Jaise hi Last tak pahunchoge tab aapko is Tarah ki Save karne ke liye Puchega aapke Enter karke Save Kar Dena hai.
- Jaise hi Enter Press Karke Save kar Doge Ham Wapas Piche us Function me Aa jayenge jaha Par hamne 2 option ko Yes kiya tha ab yaha par bhi aapko last tak enter dabate huwe save kar dena hai.
Ye Saare Steps Follow kar lene ke baad aapke Tally me GST ka Features Activate ho Jayega.
Watch Video For More Details
Best channel for learning accounting
SIR,
MAIN CHHATTISFARH RAJYA SE AAPKA STUDENT HOON, KYA MAIN BHI WOHI GSTIN DAAL DOON JO AAPNE CHAPTER 11 KI VIDEOS ME USE KIYA HAI?
SIR,
“TALLY” SIKHNE KE LIYE KYA “GST” KI JAGAH KUCHH BHI DAALA JA SAKTA HAI, YA . . . . . . (KUCHH TO EXAMPLE DIJIYE SIR, …………………….. PLEASE, PLEASE, PLEASE)
Sir,
Maine to jitni bhi companies create ki hain sabhi keval seekhne ke liye banai thi, naam ki companies hain to phir unke GSTIN. kahaa se laaoon?
By000184@gmail.com
Nice sir bahut achhi tarek sikhe ho itani achchi tarah to center par bhi nahi sikhate jata
enable goood and service tax ( GST ) show nahi kar raha h kaya kare ????
You tube pe to bahut sare channel hain Tall ERP9 sikhane k liye lekin aapke jaisa koi nhi wo v pdf me same language k sath. Bery Nice Sir ji.