Badhte hai Agle Chapter ki Taraf – Chapter 54 : Indirect income Group in Tally, Hello & Welcome to My Website TallyClass.com & Let’s Begin.
Chapter 54 : Indirect Income Group in Tally
Pehle Bata Deta hu ki Tally me Alag Alag Naam se 2 Group hai jinka Matlab ek hi hai.
- Indirect income
- Income (Indirect)
in Dono ke Alag Alag Naam hai lekin Matlab ek hi hai Dono me se koi bhi Select Kar Sakte hai.
Types of Income
to Shuru karne se pehle ek Baat aur bata deta hu ki Business me jo Income hoti hai wo 2 tarah se hoti hai.
- Direct Income – Hindi me arth hota hai Prtyaksh Aay – Jiska Matlab hai Wo Income jo hame Hamare Mukhye Business se Hoti hai – iske Bare me ham Agle Chapter me Detail me Samjhenge
- Indirect income – Hindi me Arth hota hai Apratyaksh Aay – is Chapter me ham Indirect Income ko Deeply Samjhenge to shuru Karte hai.
What is Indirect Income
kisi Bhi Business me 2 alag Alag Income hoti hai
- wo Income jo ham Business Activity se Kamate hai For Example-
Meri Mobile ki Dukan hai aur Mobile Bechne ka Kaam Karta hu.
1000 Rs. ka Mobile Kharida aur 1200 Rs. me Bech Diya to 200 Rs. meri Business Activity ki Income hai. - wo Income jo Ham non-Business Activity se Kamate hai For Example –
Purane Akhbar Bechne se, Purane Cartoon Boxes Bechne se, Purane Furniture ya Dukan me Lagi hui AC bechne se jo income hoti hai wo indirect Income kehlati hai.
in short – Business ke Alawa kisi Dusre Sources se jab bhi income hoti hai wo indirect income kehlati hai.
Indirect Income Group me Kaun Kaun se Ledger Bante hai.
to Simply wo Sabhi tarah ki Income jo Business ke Alawa kisi bhi Dusre Tarike se hoti hai un Sabhi ke Ledger Indirect Income ke Group me Banye Jate hai Jaise –
Sr. No. | Ledger Name | Group Name |
---|---|---|
1 | Old News Paper Sold | Indirect Income |
2 | Old Cartoon Boxes Sold | Indirect Income |
3 | Old Fixed Assets Sold | Indirect Income |
4 | Commission Received | Indirect Income |
5 | Scheme & Discount Received | Indirect Income |
6 | Rent Received | Indirect Income |
7 | Any Interest Received ( Kahi se bhi Byaz ki Prapti) | Indirect Income |
inke Alawa bhi kai tarah ki income hoti hai Jinka Ledger Indirect Income Group me Banta hai.
Indirect Income Group ka Nature kya hota hai.
Tally ke Har Group ka 4 me se koi bhi 1 Nature hota hai.
- Liability
- Assets
- Expenses
- Income
to aap khud Samajhdar hai aur Dekhke pata laga sakte hai ki is group ka Nature kya hoga Fir Bhi Bata hi Deta hu is Group ka nature Income ka Nature hota hai jo ki is Group ke Naam se Aur Matlab dono se pata chalta hai.
Is Chapter ke PDF Notes Yaha se Download Kare
Course ke Baki Chapter aap di Gai Links Par Click karke Padh Sakte hai.
2 comments
Pingback: what is Direct Income Group in Tally ERP9 in Hindi
Pingback: TallyClasses » Tally Course with GST Full & Free