Badhte hai Agle Group ki Taraf investment Group in Tally. Aur is post me ham Samjhenge ki Kaun Kaun se Ledger is Group me Bante hai. Hello & Welcome to my Website TallyClass.com. Let’s Get Started.
Chapter 45 : Investment Group in Tally
Sabse Pehle ye Samajhte hai ki Investment ka matlab kya hota hai Investment ka hindi me Arth hota hai Nivesh.
aur jaisa ki Hame iske Naam se hi Pata Chal Raha hai ki wo Paisa jo Hamne Kahi par Invest kiya huwa hai Extra Profit ke liye ya Extra Saving ke liye to use ham investment kehte hai
For Example FD yani Fixed Deposit
Agar Ham koi Bhi Bank me 1 lakh Rupye FD me Invest karte hai 5 Saal ke liye to pehli baat to 1 lakh Rs ki Saving Yani Bachat ho Gai aur 5 Saal baad Bank Hame Byaz Sahit Bank ke interest Norms ke According FD ka Rupya Wapas Return Kar Deti hai to Yaha par ho gaya hamara Extra Profit Ise hi Investment kehte hai.
Investment Group me Kaun Kaun Se Ledger Bante hai
Sr. No. | Ledger Name | Group Name |
---|---|---|
1 | Any Bank FD Account | Investment |
2 | Any Bank RD Account | Investment |
3 | Any Company Mutual Fund | Investment |
4 | Investment in Shares | Investment |
5 | Purchase of Bond | Investment |
6 | Pension Plan | Investment |
Kai Log Life Insurance ko aur Health Insurance ko bhi Investment ka Group Samajhte hai Jabki dikhne me ye investment hi hai lekin ye Hamari Capital me Judta hai Kyunki –
Life insurance ka Paisa Death hone ke Baad Milta hai Aur Health insurance ka Paisa Agar aap Bimar Padte ho to Bimari ke Ilaz ke liye milta hai so Life Insurance aur Health Insurance investment ka part nahi hai
Investment Group ka Nature kya Hota hai.
Agar ham kisi Bank me 1 lakh Rupye ki FD karwate hai to jo 1 Lakh Rupye hamne Bank me Deposit karwaye hai Wo Hamare Rupye hai aur unpar Hamara hak hai Aur wo hame Kuch Time Period ke Baad Wapas milte hai. isi Tarah jo Bhi Investment ham karte hai wo Sab ham Apne rupyo se karte hai jo hame Baad me Wapas bhi milta hai
Isi Basis par investment Group ka nature hota hai Assets ka. Kahi par bhi Invest kiya gaya Paisa hamari Sampati hai
Is Chapter ke PDF Notes aap Di gai Link se Download kar Sakte hai.
Course ke baki Chapter ke liye aap Di gai Links par Click Kare
Hello sir my name is deepesh beck
I am watching your videos everyday .your
Tally videos and concepts are very helpful