Journal Voucher Entry in Tally in Hindi

Journal Voucher Entry in Tally

Journal voucher entry

Agar aapko Future me ek Accha Accountant ban na hai to Seriously aapko kisi bhi entry ko Journal Voucher me Karna Aana jaruri hai

Aap jitne Behtar Dhang se Aur jitna Fast Tarike se kisi bhi entry ko Journal Voucher me kar Sakoge utna hi aap future me ek expert accountant ban sakoge.

Journal Voucher me entry karna waisa hi hai Jaise aapko koi bhi interview me kisi bhi tarah ki entry ko paper par karne ke liye kehta ho.

How To Pass Journal Entry

Kisi bhi Entry ko Journal Voucher me karne ke liye aapko kewal 2 Chizo ka Dhyan hona bahut hi jyada jaruri hai agar aap in 2 baato ko samajh jaate ho to aap kisi bhi entry ko journal voucher me bahut hi jyada aasani se kar sakte ho bina kisi pareshani ke aur wo 2 baate hai.

  1. Entry me kaun Kaun se Ledger Banenge
  2. Kaunsa Ledger Debit hoga aur kaunsa Credit

to in dono Baato ko Ham Thoda sa detail me samajhte hai.

kisi bhi Entry me Kaun Kaun se Ledger Hote hai.

Sahi maayne me hame koi ye Samjha nahi sakta hai ki kisi bhi entry me kaun kaun se ledger hote hai ya ham kaise pehchane ki is entry me kaun kaun se ledger hai.

Ye Sab aapke Dimag ke samajhne ki capacity par depend karta hai ki kisi bhi entry me kaun kaun se ledger hai unko kaise pehchane.

kyunki koi bhi entry ek tarah ki nahi hoti hai. entries bhi kai tarah ki hoti hai even tarah tarah ki hoti hai

aur har entry me kam se kam 2 ledger to hote hi hai aur jyada se jyada 3 bhi ho sakte hai 4 bhi ho sakte hai 10 bhi ho sakte hai

 

Kaunsa Ledger Debit hoga aur kaunsa Credit.

kisi bhi Ledger ko Debit aur Credit karne ke liye aapko ye Chize pata honi chahiye

  1. Entry me Ban ne wale Ledger Kaun kaunse hai
  2. Ledger ka Nature Kya hai
  3. Ledger ka amount ghat raha hai ya badh raha hai.

kyunki in 3 Baato ke aadhar par hi kisi bhi entry ko Debit aur Credit kiya jata hai. aur debit and credit karne ka jo sabse easy method hai wo ye hai.

Company se Mangne Wale
Comapny ki Income
Badhti hai To Credit
Ghatti hai To Debit
Company ko Dene Wale
Company ki Sampatiya
Company ke Kharche
Badhte hai To Debit
Ghatte hai to Credit

 

Watch Video for More Detail

Journal Voucher ko Completely Samajhne ke liye aap ye video bhi dekh sakte hai Is video se aap journal voucher me entry karna ek dam easiest way me sikh sakte hai

 

Download PDF Notes Here

About Afzal2524

Full Tally Course with GST free of Cost. Dedicated to Serve Education in India. Join Me If You Want to Be an Accounting Expert And Watch all my Video and post to my Website & My Youtube Channel

Check Also

depriciation in hindi

What is Depreciation in hindi

What is Depreciation in Hindi Depreciation ka hindi me arth hota hai mulya has Arthart …

7 comments

  1. Sir, koi bhi vedio download nahi ho rahi hai.Site bahut hi slow chal rahi hai.

  2. Subal Mukherjee

    Sir outstanding entry ke bareme kuch tips de
    toh achha Hoga.

  3. Sir point of sale ki complte detail ke sath vedio bnaye

  4. JAYANTA KUMAR BEHERA

    i am so happy seen your YouTube tally video

  5. SIR CHAPTAR 89 ME JOURNAL VOUCHER ME CASH KI ENTRY NAHI HO PA RAHI.
    KUTCH HULP KARO.

  6. SIR CHAPTER 69 ME HARSHIT TRADING CO KA GROUP- LOAN & ADVANCES ME DALA THA.

    AUR AB CHAPTER 89 ME HARSHIT TRADING CO KO GROUP DEPOSIT (ASSETS) ME DALA.

    SAHI ME KON SA GROUP DALA JATA HAI. HULP PLASH

  7. SIR JOURNAL ENTRY ME CASH CR AUR BANK DR KI ENTRY NAHI HO RAHI HAI.KIYA KARE HULP

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *