Chapter 49 : Loans Liability Group in Tally

Shuru Karte hai – Chapter 49 : Loans Liability Group in Tally & is chapter me ham samjhenge ki Loans Liability ke Group me kaun – kaun se Ledger bante hai. Hello & Welcome to my Website TallyClass.com. Let’s Begin –

loans liability group

Chapter 49 : Loans Liability Group in Tally

To jaisa ki ham Chapter 46 se hi Loan ke Group ki Baat kar rahe hai.

  1. Chapter 46 me Hamne Loans & Advances Asset Group ke Bare me Samjha tha ki Jo Loan aur Advances ham kisi ko dete hai uske Ledger is Group me Bante hai.
  2. aur Chapter 47 me Hamne Secured Loan Group ke Bare me Samjha tha ki Jo Loan Ham kisi se bhi Security Jama Karwa kar Lete hai un Sabhi ke Ledger is Group me Bante hai.
  3. Chapter 48 me hamne Unsecured Loan Group ke Bare me Samjha tha Ki Jo Loan Ham Kisi se bhi Bina Security ke Lete hai Un Sabhi ke Ledger is Group me Bante hai.

To Jo Loan ham Lete hai Uske Bare me bhi Samajh Liya aur Jo Loan Ham Dete hai uske bare me bhi samajh liya to ab fir ye Kaunsa Loan Aa Gaya Chaliye Dekhte hai.

What is Loans Liability

Iske naam se Samajhne ki Koshis karte hai is Group ke Naam me 2 word hai.

  1. Loan – Jiska Matlab aapko pata hi hai Lekin Kaunsa Loan wo Loan jo Hamne Liya hai ya wo Loan jo Hamne diya hai.
  2. Liability – Ab Jab ham iske Dusre Word Liability par nazar Daalte hai to Liability ka matlab hota hai Uttar Dayitv yani Responsibility Jiska Matlab hota hai Jimmedari to iske Dusre Word se Pata Chalta hai ki yaha par us Loan ki Baat ho rahi hai Jo Loan Hamne kisi se Liya hai.
    aur Jo loan hamne kisi se liya hai ye hamari liability hai ki wo Loan Wapas Lautaye.

Lekin Jo Loan Hamne Liye hai uske Bare me ham Last 2 Chapter me Baat kar Chuke hai pehla Secured Loan & Dusra Unsecured Loan

To yaha par fir Kaun se Loan Lene ki Baat ho Rahi hai Agar Aapko Koi Confusion hai to abhi dur kar deta hu Jiske Liye ham Dekhte hai ki Loans Liability Group me Kaun kaun se Ledger Bante hai.

Loans Liability Group me Kaun kaun se Ledger Bante hai.

To main Aapko Batana Chahta hu ki Loans Liability Main Group hai Jiske Under me 2 Sub Group aate hai Secured Loan & Unsecured Loan to Jo Ledger Secured Loan & Unsecured Loan me Bante hai unhe ham Chahe to Directly Loans Liability Group me Bhi Bana Sakte hai.

For Example –

  1. HDFC Bank se 25 Lakh Rupye ka Secured Loan hai aur
  2. IDBI Bank se 1 Lakh Rupye ka Unsecured Loan hai.

ab ham chahe to yaha par HDFC Bank Loan Account Aur IDBI Loan Account Directly Loans Liability ke Group me Daal Sakte hai Jisme Koi Pareshani wali Baat nahi hai.

Lekin Yaha par hame Ye pata nahi Chalega ki kaunsa Secured Loan Hai Aur kaunsa Unsecured Loan hai. Isliye ham jis Loan ke Liye Security di hai Use Secured Loan me Dalte hai aur Jiske Liye Security nahi di hai Use Unsecured Loan me Dalte hai Jiska Main Matlab yahi hota hai Ki ye Loans Liability Group ke hi hai.

to Simply me Ye batana chahta hu ki loans Liability ke Group me koi Ledger Banane ki Jarurat hi nahi hai is Group ke jo 2 Sub Group hai usme hi in Ledger ko Banaya Jata hai.

Loans Liability Group ka Nature kya Hota hai.

Mujhe Lagta hai ye to Batane ki Jarurat hi Nahi hai Aap Sabhi ko Samajh me aa gaya hoga ki is Group ka nature Liability hota hai aur is group me wo loan aate hai jo ham par libility hoti hai jo hame wapas pay karne hai.

 

Is Chapter ke PDF me Notes Download Karne ke liye Di Gai Link par Click Karen

Download PDF Here

 

Course ke Baki Chapter Padhne ke liye aap Di Gai Link par Click kar Sakte hai.

Chapter 1-10 of Tally Course

Chapter 11-20 of Tally Course

About Afzal2524

Full Tally Course with GST free of Cost. Dedicated to Serve Education in India. Join Me If You Want to Be an Accounting Expert And Watch all my Video and post to my Website & My Youtube Channel

Check Also

depriciation in hindi

What is Depreciation in hindi

What is Depreciation in Hindi Depreciation ka hindi me arth hota hai mulya has Arthart …

4 comments

  1. detail tally ka pdf

  2. Sir ji 9 wa chapter डिटेल डाला है डलना सर जी

  3. Sir me scince ka Student hu our me adca cource kar chuka hu mai account ka work karna chahta hu
    Kay mai kar sakta hu sir

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *