aise Jaise ham Next Chapter ki tarah Badhte Ja Rahe hai to Ab hame one By One Group ko Ache se Samjhne ki Jarurat Pad Rahi hai. Badhte hai Next Chapter 59 : Provisions Group in Tally. ise bhi hame Ache se Samajhne ki Jarurat hai.
Hello & Welcome to My Website TallyClass.com & Let’s Begin –
Chapter 59 : Provisions Group in Tally
Provisions Group ko Hame Thoda sa Samjhne ki jarurat hai ab tak Jo group hamne Sikhe hai wo Sabhi Samajhne me Bahut hi Easy the Ab provisions ek naya Group hai Jise Hame Thoda sa Dimag Laga kar Samajhne ki Jarurat hai Chaliye Easy language me Samjhne ki Koshish Karte hai.
What is Provisions
Provisions ko agar Saral Bhasha me convert karu to Keh Sakte hai Business Ke Liye Future me hone wale loss ki Taiyyari karna.
For Example Mere is Saal 10000 Rs. Dubat me Chale Gaye yani 10000 Rs. ke Jo Dendar the unhone Mujhe paise nahi Diye Aur main Ye maan Ke Chal Raha hu ki ye meri Dubat hai to Mera 10000 Rs. ka Loss Ho Gaya yani ek Tarah se Kharcha Ho gaya
Lekin is Saal Mere Business me Acha Profit huwa hai Agar Mujhe 10000 ya 20000 Rs. ka loss bhi Hota hai to kuch Fark Nahi padta Lekin Agle Saal meri Financial Condition Kya hogi ye Mujhe nahi pata.
aur Mujhe ye bhi Lagta hai ki Agle Saal Bhi Mujhe Dubat ho Sakti hai Jiska Amount Fix Nahi hai yani kuch Bhi ho sakta hai is Saal 10000 Rs. huwa hai to Agle Saal 15000 Rs ho Sakta hai kam bhi Ho sakta hai aur Jyada Bhi Ho Sakta hai.
to main Kya karunga isi Saal 10000 Rs. Dubat ki Jagah 15000 Rs. Dubat Bata Dunga
Jisme 10000 Rs meri is Saal ki Actual Dubat ka Loss hai
aur 5000 Rs. Future me Ho Sakne Wali Dubat ka Loss Jo Main Abhi se hi Book Kar Dunga
to is Saal Ka Matter Kuch Is tarah se Khatam Ho jayega
15000 Rs. Dubat me Chale Jayenge yani Expenses me Show Ho Jayenge
jisme 10000 Jo Dendar the wo kam Ho jayenge
aur 5000 Rs. Provisions for Bad Debts ke Ledger me Khade Ho jayenge Future ke Liye
Ab Hamne jo next year ke Liye Jo Planing ki thi yani 5000 Rs. ka Jo Provisions Book kiya tha Uska Kya Fayda hota hai ye Dekhte hai.
Ab is se hoga ye ki Maan Lijiye Mujhe Next Year Fir 10000 Rs. ki Dubat hui to ab Mujhe 10000 Rs. pura loss me Show Karne ki jarurat nahi hai Ab ham Yaha par Kewal 5000 Rs. Loss hi Show Karenge.
Kyunki Maine Ye Andaza pehle hi Laga liya tha ki Future me bhi Dubat ho Sakti hai Jiske liye Maine 5000 Rs. Pehle se hi Kharcha Show Kar Diya tha aur Provisions for Bad Debts ka Ledger Khada Kar Diya tha
to next year Mujhe 10000 Rs. Loss Dikhane ki Jarurat nahi hai Kyunki 5000 Rs. ka Loss me Pehle hi Dikha Chuka Jiska Mujhe Andesha Tha.
to Simply Provisions ka ye Fayda Hota hai ki Future me Hone Wale nuksan ya loss ki Pehle se Taiyyari Karke Rakhna taki Baad me Ham par Kisi bhi Loss ka ek dam se bhar na pade
Jab ham iski Tally me Entry karenge to Aur Behtar Dhang se Samajh me Aa Jayega
Provisions Group me Kaun Kaun se Ledger Bante hai.
to ab hame Simply Ye Dekhna hai ki Kaun Kaun se Aise loss ya Kharche hote hai Jinki ham Pehle se Taiyyari Kar Sakte hai.
Sr. No. | Ledger Name | Ledger Detail | Group Name |
---|---|---|---|
1 | Provision For Doubtful Debts | Aisi Rupye Jo Dendaro se Milne hai aur Jis Par Doubt Hota hai ki Ye Aayenge Ya Nahi Aayenge | Provision |
2 | Provision For Bad Debts | Jin Rupye par Confirm hota hai ki ye Hamari Dubat hai. | Provision |
3 | Provision For Depreciation | Jo Bhi Business me Fixed Assets hai un Sabhi ki Har Saal Value Ghat ti hai Jise Depreciation Kehte hai. | Provision |
4 | Provision For Income Tax | Agar business me Aise Lage ki Future me Mujhe Income Tax Jyada Pay Karna Pad Sakta hai to Uske Liye bhi Provision Ledger Bana Sakte hai. | Provision |
5 | Provision For Loss of Assets | Agar Hame ye Lagta ho ki Aage Chalkar kisi Sampati Par loss Ho Sakta hai to Us se Ubhar ne Ke liye bhi Provision Banaya Ja Sakta hai | Provision |
to Dosto Ye Ledger hai Jinka Group Provisions Hota hai.
Agar Aapko Kuch Confusion hai ya Samajh Me nahi Aaya to Apne Aap ko Thoda Time Dijiye Jaise Jaise Aap Accounting Sikhte Jayenge Aapko Samajh me Aata jayega
aur Thodi Bahut Confusion ham Aage Chalkar bhi Dur Karenge
Provisions Group ka nature Kya Hota hai.
Jo Kharche hamne Pehle Se Book Kar ke Rakhe hai ya Jin Jin ka hamne Provisions banaya huwa hai Wo Future me Kabhi na Kabhi Pay Karne hi Padte hai Isliye Is Group ka Nature Liability ka Hota hai.
Ummid Karta hu ki Aapko Samajh me Aaya hoga
Is Chapter ke PDF Notes Aap Di Gai Link se Download Kar Sakte hai
Course ke Baki Chapter aap di Gai link par Click Kar ke Padh Sakte hai.
One comment
Pingback: TallyClasses » Tally Course with GST Full & Free