Hello & Welcome to My Website Tallyclass.com Shuru karte hai Next Chapter – Purchase Account Group in Tally ERP9 so without Wasting the Time Let’s Begin.
Chapter 51 : Purchase Account Group in Tally
to Chapter me Ham Purchase Account Group ki Baat karenge aur is Group ke Bare me Jyada Kuch Samjhane ki Jarurat bhi nahi hai.
Bas Itna Keh Sakte hai ki Jab bhi Ham Purchase ke Voucher me entry karte hai yani Maal Kharidte hai. Tab Purchase Account ka Group kaam me aata hai.
Lekin Yaha par main Aapko Itna jarur Batana Chahunga ki Purchase Account ka Group to Ek hi Hota hai Lekin Is Group ke Under Ban ne Wale Ledger Kai Tarah ke Ho Sakte hai Jo Depend Karta hai In Bato Par
- Jo Maal Kharida Uspar GST lagta hai Ya Nahi
- Kharida Gaya Maal Aapne Self State se Kharida hai Ya Other State me
- Maal Registered Firm se Kharida Hai ya Unregistered Firm se
to aur bhi Alag alag Conditions ho sakti hai.
Purchase Account Group me kaun Kaun se Ledger Bante hai.
Purchase Account ke Group me Jo Common Ledger Banaye jate hai wo Kuch is Tarah hai.
Agar Aap Tally me Accounts with inventory Maintain kar rahe ho to Kuch is Tarah se Ledger Bante hai.
Sr. No. | Ledger Name | Group Name |
---|---|---|
1 | Purchase GST | Purchase Account |
2 | Purchase IGST | Purchase Account |
3 | Purchase Exempt | Purchase Account |
4 | Purchase Interstate Exempt | Purchase Account |
Aur Agar Aap Account Only Maintain Kar Rahe ho to Ledger is Tarah Bante hai.
Sr. No. | Ledger Name | Group Name |
---|---|---|
1 | Purchase GST @ 00% | Purchase Account |
2 | Purchase GST @ 05% | Purchase Account |
3 | Purchase GST @ 12% | Purchase Account |
4 | Purchase GST @ 18% | Purchase Account |
5 | Purchase GST @ 28% | Purchase Account |
6 | Purchase IGST @ 05% | Purchase Account |
7 | Purchase IGST @ 12% | Purchase Account |
8 | Purchase IGST @ 18% | Purchase Account |
9 | Purchase IGST @ 28% | Purchase Account |
iske Alawa bhi Dusre Purchase ke Ledger purchase Account Group me Banaye Jate hai.
Purchase Account Group ka nature Kya hota hai.
to Ab Ham Samajhte hai ki Purchase Account Group ka Nature kya hota hai to Dosto is Group ka Nature bhi na to Liability hai aur na hi Assets hai.
Is Group ka Nature Expenses ka hota hai.
Wo Kaise Main Batata hu Yaha Ek Simple Sa Example Deta hu
Maan Lijiye koi 1 Lakh Rupye ka Maal Leke Aata hai Kisi Bhi Festival Season par Lekin Mandi ki Wajah se Kewal 20000 Rs. ka hi maal Bika aur 80000 Rs. ka Maal Pada Reh Gaya.
To ham Ye Keh Sakte hai ki 80000 Rs. ka Loss Ho Gaya Jise Dusri Language me 80000 Rs. ka Kharcha bhi Keh Sakte hai.
Is Liye Purchase Account Group ka nature Expenses Ka nature Hota hai.
Agar aap Is Chapter ke PDF me Notes Download Karna Chahte hai to di gai link Par Click Kare
Course ke baki Chapter aap Di Gai Link Par Click Karke Dekh Sakte hai.
2 comments
Pingback: understanding the nature of accounting Group in Hindi
Pingback: TallyClasses » Tally Course with GST Full & Free