Hello & Welcome to My Website Tallyclass.com Shuru karte hai Next Chapter – Sales Account Group in Tally ERP9 so without Wasting the Time Let’s Begin.
Chapter 50 : Sales Account Group in Tally
to dosto Chapter 50 tak ham pahunch Chuke hai aur is Chapter me Ham Sales Account Group ki Baat karenge aur is Group ke Bare me Jyada Kuch Samjhane ki Jarurat bhi nahi hai.
Bas Itna Keh Sakte hai ki Jab bhi Ham Sales ke Voucher me entry karte hai yani Maal Bechte hai. Tab Sales Account ka Group kaam me aata hai.
Lekin Yaha par main Aapko Itna jarur Batana Chahunga ki Sales Account ka Group to Ek hi Hota hai Lekin Is Group ke Under Ban ne Wale Ledger Kai Tarah ke Ho Sakte hai Jo Depend Karta hai In Bato Par
- Jo Maal Becha Uspar GST lagta hai Ya Nahi
- Becha Gaya Maal Aapne Self State me Becha hai Ya Other State me
- Maal Registered Firm ko Becha Hai ya Unregistered Firm ko ya Kisi Customer ko
to aur bhi Alag alag Conditions ho sakti hai.
Sales Account Group me kaun Kaun se Ledger Bante hai.
Sales Account ke Group me Jo Common Ledger Banaye jate hai wo Kuch is Tarah hai.
Agar Aap Tally me Accounts with inventory Maintain kar rahe ho to Kuch is Tarah se Ledger Bante hai.
Sr. No. | Ledger Name | Group Name |
---|---|---|
1 | Sales GST | Sales Account |
2 | Sales IGST | Sales Account |
3 | Sales Exempt | Sales Account |
4 | Sales Interstate Exempt | Sales Account |
Aur Agar Aap Account Only Maintain Kar Rahe ho to Ledger is Tarah Bante hai.
Sr. No. | Ledger Name | Group Name |
---|---|---|
1 | Sales GST @ 00% | Sales Account |
2 | Sales GST @ 05% | Sales Account |
3 | Sales GST @ 12% | Sales Account |
4 | Sales GST @ 18% | Sales Account |
5 | Sales GST @ 28% | Sales Account |
6 | Sales IGST @ 05% | Sales Account |
7 | Sales IGST @ 12% | Sales Account |
8 | Sales IGST @ 18% | Sales Account |
9 | Sales IGST @ 28% | Sales Account |
iske Alawa bhi Dusre Sales ke Ledger Sales Account Group me Banaye Jate hai.
Sales Account Group ka nature Kya hota hai.
to Ab Ham Samajhte hai ki Sales Account Group ka Nature kya hota hai to Dosto is Group ka Nature na to Liability hai aur na hi Assets hai.
Is Group ka Nature Income ka hota hai.
wo kaise Main batata hu Agar ham koi Maal Kharidte hai to Income Tab hi Hogi Jab ye Maal Bikega aur jitna jyada maal bikega utni jyada income hogi aur agar Kharida Gaya Maal Bikega hi nahi To Income bhi Nahi hogi isliye Sales Account Group ka Nature Income ka Nature hota hai.
Agar aap Is Chapter ke PDF me Notes Download Karna Chahte hai to di gai link Par Click Kare
Course ke baki Chapter aap Di Gai Link Par Click Karke Dekh Sakte hai.
Sir bahut he sandar.and you growth in our life so finally thank you all the best
Excellent sir aisa koi mila nahi mujhe