Badhte hai Dosto Agle Chapter ki Taraf Secured Loan Group in Tally. Hello & Most Welcome to my Website TallyClass.com. Let’s Begin.
Chapter 47 : Secured Loan Group in Tally
Jaisa ki Dosto Chapter 46 : Loan & Advances Asset me hamne Ye Dekha tha ki Loan 2 tarah ke hote hai.
- wo Loan Jo Hamne Kisi se Liya hai.
- wo Loan Jo Hamne Kisi ko Diya hai.
aur Chapter 46 me hamne ye ache se samjha tha ki jo Loan ham kisi ko dete hai uska Ledger Loan & Advances Asset ke Group me Banta hai.
to ab Baat karte hai us Loan ki jo hamne kisi se liya hai iska ledger Kis Group me Banta hai.
Dosto Jo Loan ham Lete hai wo 2 tarah ke hote hai.
- Secured Loan
- Unsecured Loan
Is Chapter me ham Secured Loan ko Samjhenge aur Next Chapter me ham unsecured Loan ko Samjhenge.
What is Secured Loan
Aisa Loan Jo ham kisi bhi Bank se, Kisi bhi Co-Operative Society Ya Kisi bhi Vyakti se Lete hai aur Security ke Taur par hame koi Bhi Samapti ke Documents Girvi Rakhne padte ho Use Secure loan Kehte hai.
For Example – HDFC Bank se 25 Lakh Rupye ka Loan Liya Jiske Badle me Property Ke Paper ya Gold hamne Girvi Rakha ho.
Secured Loan ke Group me Kaun Kaun se Ledger Bante hai
Koi bhi Aisa Loan ho Jiske Badle me hame Security Deni Padti ho Un Sabhi ke Ledger Secure Loan ke Group me Bante hai.
Sr. No. | Ledger Name | Group Name |
---|---|---|
1 | Any Bank Loan Account | Secured Loan |
2 | Any Co - Operative Society Loan Account | Secured Loan |
3 | Any Friends, Relatives or Any Person Loan Account | Secured Loan |
4 | Any Gold Loan Account | Secured Loan |
5 | Any Home Loan Account | Secured Loan |
Secured Loan Group ka Nature kya Hota hai.
to Jaisa ki abhi tak hamne puri Post me Ye Jana hai ki Yaha par Us Loan ki Baat ho Rahi hai Jo Loan hamne kisi se Liya hai. Aur jo Loan hamne Kisi se Liya hai use Wapas Chukana Padta hai to Ye ham Par Liability hai
to isi Basis par Secure Loan Group ka Nature Liability ka Hota hai aur Balance Sheet me Liability ki Side me Show hota hai.
is Chapter ke PDF me Notes aap Di Gai Link se Download Kar Sakte hai
Course ke Baki Chapter aap di Gai Link par Click karke Padh Sakte hai.
3 comments
Pingback: What is Unsecured Loan | Unsecured Loan Group in Tally
Pingback: understanding the nature of accounting Group in Hindi
Pingback: TallyClasses » Tally Course with GST Full & Free