Chapter 52 : Sundry Debtors Group in Tally

Hello & Welcome to my Website TallyClass.com to ab Shuru karte hai Chapter 52 : Sundry Debtors Group in Tally & Let’s Begin –

sundry debtors group

Chapter 52 : Sundry Debtors Group in Tally

Sundry Debtors ka Hindi me Arth hota hai Dendar. Yani Wo Log jo Hame paisa Denge wo Sabhi Hamare Dendar hai.

Ab Yaha par ek Sawal hai ki Koi Hame Paisa Kyu Dega to yaha Par 2 Reason ho Sakte hai.

  1. Kisi ne Hamse Udhar Maal Kharida hoga – Agar kisi Ne Hamse Udhar me Maal Kharida hai to wo Kabhi na kabhi hame Rupye Dega Isliye wo Hamara Dendar hai.
  2. Ya fir Kisi ne hamse Rupye Udhar Liye Honge – Agar Kisi ne Bhi Hamse Rupye Udhar liye hai to wo kabhi na kabhi Wo Rupye Wapas Dega Isliye wo Bhi Hamara Dendar hai

Difference Between Sundry Debtors & Loan & Advances Assets

Ab kai Log ye bhi Sochte hai ki jinhe Ham Udhar dete hai Use Loan ke Group me Dalenge Sundry Debtors Group me Kyu ?

to Yaha par main Loan & Sundry Debtors Group me Fark Bata Deta hu.

  1. Loan use Kehte hai Jo Lambe Samay Tak Chalta hai, Jo Bade Amount me Hota hai aur jiska Byaz Liya Jata hai.
  2. Jabki Udhar Ka matlab hota hai Kuch Rupye kuch Time ke liye Udhar dena – yani Maan Lijiye Hamara Dost Apne Paas Aaya aur bola ki yaar 10000 Rs. ki Jarurat hai 15 din ke liyeto is Tarah jo paise diye jate hai use Loan nahi Kehte udhar Kehte hai.

I hope ki Aap Sabhi logo ko Samajh me Aa Gaya hoga

 

Sundry Debtors Group me Kaun Kaun se Ledger Bante hai.

to is Group ke Under me Yahi Kahunga ki 2 Tarah ke Ledger Banenge.

  1. Wo Jo Hamse Udhar Maal Leke jate hai
  2. Wo Jo Hamse Udhar Rupye Leke Jate hai.

Ye Common Ledger hai Jo is Group me Bante hai aur bhi Dusre ledger Hote hai Jo is Group me Banaye Ja Sakte hai.

 

Sundry Debtors Group ka Nature Kya hota hai.

Jaise ki maine Bataya Sundry Debtors ka Matlab hota hai Dendar Yani wo log Jinse Ham paise Mangte hai. Man lijiye Rohan se 15000 Rs. Mangte hai.

to Rohan ke Paas jo 15000 Rs. Pade hai wo Hamare Paise hai Hamari Sampati hai jo Ham kabhi na kabhi us se mang Lenge.

Is Basis par is Group ka nature Assets ka Hota hai.

 

Is Chapter ke PDF Me Notes Di Gai link se Download Kar Sakte hai

Download PDF Here

 

Baki ke Chapter Padhne ke liye di gai Link par Click Kare

Chapter 1-10 of Tally Course

Chapter 11-20 of Tally Course

About Afzal2524

Full Tally Course with GST free of Cost. Dedicated to Serve Education in India. Join Me If You Want to Be an Accounting Expert And Watch all my Video and post to my Website & My Youtube Channel

Check Also

depriciation in hindi

What is Depreciation in hindi

What is Depreciation in Hindi Depreciation ka hindi me arth hota hai mulya has Arthart …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *