Shuru Karte hai. Chapter 65 : Suspense Account Group in Tally. Hello & Welcome to My Website TallyClass.com & Let’s Begin.
Chapter 65 : Suspense Account Group in Tally
Dosto Is group ko Jyada Samajhne ki Jarurat nahi hai. Suspense ka matlab hota hai Jiske Bare me Pata nahi ho.
aur Suspenses account Group ka Mostly Use hota hai Jab ham Bank Statement ki Entry karte hai tab
Jab ham Bank Statement ki Entry karte hai tab kai Aisi Entries aati hai Jiska hame pata nahi chalta ki ye Paise Kaha Se Aaye hai ya ye paise Kisko Diye hai.
Kyunki bahut se Aisi Bank statement hote hai jisme ye Saaf Taur se Likha huwa nahi hota hai ki Ye Rupye kaha se Aaye hai ya kisko Diye hai aur agar likha huwa bhi ho to bhi hame pata nahi chalta hai.
example of Suspense Entry
For Example main kisi Mobile ki Shop me part time Accounting ka kaam karta hu aur mahine me ek baar jake Purchase, Sales, Receipt, payment aur Bank Statement ki Entry kar Deta hu.
Ab maan Lijiye ki is Bich me jo Mobile shop ka malik hai Usko 1 Lakh Rupye ki jarurat Pad Gai aur usne Apne kisi Dost se 1 Lakh Rupye Bank me mangwa Liye.
Ab main Bank Statement ki Entry Kar raha hu aur Dekhta hu ki Kahi se 1 Lakh Rupye aaye huwe hai lekin mujhe nahi pata ki kisne diye hai aur maan lijiye dukan ka malik kisi Urgent mitting me betha hai aur unhe aane me thoda time lag jayega.
ab unke aane tak main bank statement ko lekar to betha nahi rahunga to is condition me kya kiya jata hai
ek suspense Account ka ledger banaya jata hai jise suspense account ke group me dalte hai.
aur temporally uski entry kar dete hai taki bina rok tok apna kaam chalta rahe.
ab jab bhi dukan ka malik mitting se free hoke aayega ham us se puch lenge ki ye 1 lakh rupye kaha se liye to wo kahega ki kisi dost se loan liya hai.
to ab jo entry hamne suspense me dali thi use dubara sahi karenge aur unsecured loan me dal denge.
to isi tarah suspense account ke Group ka use kiya jata hai.
Suspense Account Group me Kaun kaun Se Ledger Bante hai.
Suspense Account ka kewal ek Hi Ledger Bana Sakte hai Jis ledger ka naam hi Suspense Account hota hai aur group bhi suspense account hota hai. aur har us entry ko ham suspense account ke ledger me daal sakte hai jiske bare me hame pata nahi chalta hai.
lekin jo bhi entries hamne suspense account me daali hai unhe sahi karna bhi jaruri hota hai.
Suspense Account Group ka nature Kya hota hai.
Balance Sheet me Suspense Account Liability ki Side me hota hai to is basis par hi suspense account ko liablity mana jata hai. aur waise bhi is group ka nature chahe liability ho chahe assets balance sheet final karne se pehle suspense ki har ek entry ko clear karna padta hai.
is liye suspense account na to liability ki side me rehta hai aur na hi assets ki side me
Is Chapter ke PDF me Notes aap di Gai link se Download Kar Sakte hai.
Course ke Baki Chapter aap di gai Link Se padh Sakte hai.
sir pdf notes download nahi ho rah hai ?
please sir help me
sir,tally purchase & Sels Group me production ke material ka Entry Ka Video ka Jarurat please help sir
Sir ji pdf file to blank download ho raha hai