Types of Purchase in Tally

Hello Dosto Swagat hai aap Sabhi ka meri Website Tallyclass.com. aur ye Raha hamare Tally Course ka Chapter 14 : Types of Purchase

Chapter 14 : Types of Purchase

Is Chapter ke baad ham Tally ERP9 me Purchase ki Entry Karna Sikhenge lekin us Se Pehle Ham Ye Jaan Lete hai ki Purchase kitne Tarah ki hoti hai aur kis tarah unki entry karni hai aur kaunsi purchase me kya dhyan rakhna hai so without Wasting the time let’s begin the Chapter –

What is Purchase

Jaisa ki Naam Se hi Malum ho raha hai Purchase ka Matlab Hota hai maal Kharidna aur ek Accountant ko Purchase ki Entry Karne se pehle ye Dekhna padta hai ki wo kis tarah ki purchase hai kyunki Accounting me waise to purchase Kai Tarah ki Hoti hai Lekin Ham Filhal Tally ERP9 me 4 Tarah ki Purchase Ki Entry Karna Sikhenge Jo Kuch Is prakar hai.

  1. Purchase Exempt
  2. Purchase GST
  3. Purchase Interstate Exempt
  4. Purchase IGST

types of purchase in tally

Ab one By One Thodi detail me in Purchase ke baare me samajhte hai.

  1. Purchase Exempt – Aisi Purchase Jiske item Par Koi Tax Nahi Lagta ho Aur Jo hamne Apne hi State se ki ho Yani Rajasthan ke Customer ne Rajasthan ke Customer se hi Kharid ki ho Use Purchase Exempt Kehte hai.
  2. Purchase GST – Aisi Purchase Jiske Item par 5%, 12%, 18% ya 28% inme se koi Bhi Tax Lagta ho Aur Jo hamne Apne hi State se ki ho Yani Rajasthan ke Customer ne Rajasthan ke Customer se hi Kharid ki ho Use Purchase GST Kehte hai aur is tarah ki Purchase me Tax SGST + CGST lagta hai Tax Rate ka 50-50% Yani Agar 28% tax hai to SGST 14% lagega aur CGST 14% lagega Jaisa ki Maine Chapter 7 : What is GST me Bataya tha.
  3. Purchase Inter State Exempt – Aisi Purchase Jiske Item Par Koi Tax nahi Lagta ho Aur Kisi Dusre State se purchase ki Ho Jaise Rajasthan Ke Kisi Customer ne Punjab Se Purchase Ki ho.
  4. Purchase IGST – Aisi Purchase Jiske Item Par 5%, 12%, 18%, aur 28% Tax Lagta ho Aur Kisi Dusre State se purchase ki Ho Jaise Rajasthan Ke Kisi Customer ne Punjab Se Purchase Ki ho aur is tarah ki Purchase Me IGST lagt hai wo Bhi Tax Rate ka 100% Yani 28% tax hai to IGST 28% Lagega.

To Filhal In 4 tarah ki Purchase ki Entry Karna Hame Sikhna hai In Charo Tarah ke Purchase ki alag alag entry ki Jati hai.

To purchase ki One By One Entry Karna ham Agle Chapter se sikhenge Sath me aapko Practice ke liye notes bhi milte Rahenge.

Watch Video For More Details

Download PDF Notes Here

About Afzal2524

Full Tally Course with GST free of Cost. Dedicated to Serve Education in India. Join Me If You Want to Be an Accounting Expert And Watch all my Video and post to my Website & My Youtube Channel

Check Also

what is income tax return

What is Income Tax Return in Hindi

What is Income Tax Return in Hindi I am Pretty Sure ki aap sabhi ne …

5 comments

  1. AAP ka sikhane ka method super hai

  2. Sir i am very happy with your video

    But I made a list of you

    Please send it to my gmail

  3. Tally sikhanese accountant Ka job milta hai Kay sir aur agar milata hai to hum apply kaise kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *