Badhte hai Dosto Agle Chapter ki Taraf Unsecured Loan Group in Tally. Hello & Most Welcome to my Website TallyClass.com. Let’s Begin.
Chapter 48 : Unsecured Loan Group in Tally
Jaisa ki Dosto Chapter 46 : Loan & Advances Asset me hamne Ye Dekha tha ki Loan 2 tarah ke hote hai.
- wo Loan Jo Hamne Kisi se Liya hai.
- wo Loan Jo Hamne Kisi ko Diya hai.
aur Chapter 46 me hamne ye ache se samjha tha ki jo Loan ham kisi ko dete hai uska Ledger Loan & Advances Asset ke Group me Banta hai.
to ab Baat karte hai us Loan ki jo hamne kisi se liya hai iska ledger Kis Group me Banta hai.
Dosto Jo Loan ham Lete hai wo 2 tarah ke hote hai.
- Secured Loan
- Unsecured Loan
Chapter 47 me hamne ye Samjha tha ki Secured Loan kya hota hai aur ab is chapter me ham Samjhenge ki Unsecured Loan kya hota hai.
What is Unsecured Loan
Aisa Loan Jo ham kisi bhi Bank se, Kisi bhi Co-Operative Society Ya Kisi bhi Vyakti se Lete hai aur un Loan ke badle koi Security dene ki jarurat nahi padti Use unsecured loan Kehte hai.
For Example – HDFC Bank se 1 Lakh Rupye ka Loan Liya aur 1 Lakh Rupye ke liye Samajhdar aadmi Property Girvi nahi rakhta hai.
Unsecured Loan ke Group me Kaun Kaun se Ledger Bante hai
Koi bhi Aisa loan ho jo Bina Security diye ho jata hai use Unsecure Loan kehte hai.
Sr. No. | Ledger Name | Group Name |
---|---|---|
1 | Any Bank Loan Account | Unsecured Loan |
2 | Any Co-Operative Society Loan Account | Unsecured Loan |
3 | Any Friends or Relatives Loan Account | Unsecured Loan |
Unsecured Loan Group ka Nature kya Hota hai.
to Jaisa ki abhi tak hamne puri Post me Ye Jana hai ki Yaha par Us Loan ki Baat ho Rahi hai Jo Loan hamne kisi se Liya hai. Aur jo Loan hamne Kisi se Liya hai use Wapas Chukana Padta hai to Ye ham Par Liability hai
to isi Basis par unsecure Loan Group ka Nature Liability ka Hota hai aur Balance Sheet me Liability ki Side me Show hota hai.
is Chapter ke PDF me Notes aap Di Gai Link se Download Kar Sakte hai
Course ke Baki Chapter aap di Gai Link par Click karke Padh Sakte hai.
One comment
Pingback: Sundry Creditors Group in Tally ERP9 in Hindi Full Detail