Again Welcome You All In My website TallyClass.com & Chapter 2 Of My Course What Is Accounting in hindi
Chapter 2 : What Is Accounting
Dekhiye Dosto Waise Accounting Word To Bahut chhota hai lekin iska complete course bahut bada hai. Jo Commerce Background ke hai wo ache se jaante hai Accounting ke bare me.
Phir Bhi Jo Nahi Jaante Unko Accounting ka short Introduction de deta hu.
Accounting 11th class se hi shuru ho jati hai jab ham commerce subject ko chunte hai 2 saal commerce complete karne me lagte hai.
Uske Baad B.Com Jise Complete Karne Me 3 Saal Lagte Hai & Uske Baad M.Com Jise Complete Karne Me 2 Saal Lag Jaate Hai.
Aur Iske Baad Bhi Accounting Chalti Rehti hai.
To Hamare Paas to Itna Time hai nahi hame ise samajhne ka Tally ERP9 me jo Accounting hamare kaam aayegi ham usi ko samjhenge to aayiye shuru karte hai.
Definition Of Accounting
Accounting ka hindi Arth Hota Hai Lekhankan. Aur Lekhankan 2 Words Se milke Bana Hai Lekha+Ankan.
Lekha – Likhna
Ankan – Ank
Artharth Lekhankan ka Matlab hota hai Anko Ko Likhna
Ab Tally ERP9 Me kin Anko Ko Likha Jata Hai Isko Samajh Lete Hai
Uses Of Tally ERP9 For Accounting
Bas Hame Filhal Itni Chhoti Se Baat Samajhni Hai ki Kisi Bhi Vyapar me hone Wale Len Den ko Tally ERP9 Me Record Kiya Jata Hai.
Aur Ek Vyapar Me Kis Tarah Ke Len Den Hote Hai Ye Bhi Bata Deta Hu.
- Purchase – Kitna Maal Kharida
- Sales – Kitna Maal Becha
- Payment – Kisko Kitna Payment Kiya
- Receipt – Kis Se Kitna Payment Aaya
- Creditors – Hamse Log Kitne Rupye Maangte Hai
- Debtors – Ham Kin Logo Se Kitne Rupye Maangte Hai
- Profit & Loss – Kitna Profit Ya Loss Hua
- Stock – Kitna Stock Pada Hai
- Expenses – Kitne Kharche Huwe
- Income – Kitni Income Huwi
To In Sab Anko ko hame Tally ERP9 me record Karna padta hai aur inhi anko ko record karke Tally ERP9 me Accounting ka kaam kiya jata hai aur inhi Anko Ko Likhne ko Accounting Kaha jata hai.
Ab iske kya Fayde hai wo jante hai.
Benefits of Accounting
- Kisi Bhi Dukan ya Shop me hone Wale Sabhi Len Den Ka record Rakha Ja Sakta hai.
- Kisi Bhi Dukan Ya Shop Ka Hisab Kitab Jaise Koi Dukandar Kisi se Kitne Rupye mangta hai Ya Dukandar Se log Kitne Rupye Mangte hai Iska Record Aasani se Rakha Ja Sakta hai.
- Business me kitna Profit Ho Raha hai ya Loss Iska Pata Lagaya Ja Sakta hai.
- Duka me Kitne Kharche Ho Rahe hai Iska pura Hisab Rakha Ja Sakta hai.
- Abhi Shop me Kitna Stock Pada hai Pata lagaya Ja Sakta hai.
- Vyaapar me kitna Cash Balance Hai Ya kitna Bank Balance hai Iska Record Rakha Ja Sakta hai.
- Vyaapar me hone wale har Len Den ka Hisab aasani se rakha ja sakta hai.
Aur ye sabhi Hisab Kitab Rakhne ke liye Aaj Bahut sare accounting Software Aa Chuke hai. unhi Me se Eke Software hai Tally ERP9 aur Tally Full Course with GST pura Karne ke Baad Aap Aasani se Accounting ka Kaam Kar Sakte hai.
Yakin Maniye Tally ERP9 me Accounting ka kaam karna Bahut hi Aasan hai Bas hame Tally me in len den ko Record Karna Sikhna hai Jo ham aage chalkar sikhenge aur baki ki reports apne aap taiyyar ho jati hai.
Ab Sawal Ye Hai Ki Jin Logo Ka Commerce Background Nahi hai Kya Wo Tally ERP9 Sikh Sakte hai To Iske answer ke liye aap Next Chapter 3 : Qualification Required For Accounting In Tally ERP9 Dekhe.
Usme Aapko Jawab Mil Jayega Aur Jald Hi Milenge Nayi Post Ke Sath Ye Course Yunhi Chalta Rahega
Watch Video For More Details
Download PDF Notes From Given Link
Notices ki sir please