What is Balance Sheet in Hindi
Jaisa ki maine Pichle Topic me bataya ki Tally me Total 28 Group hote hai unme se 6 Group me jitney bhi ledger bante hai un sab se profit & loss report Taiyyar hoti hai. Baki jo 22 Group Bachte hai un Sab group me ham jitni bhi entry karte hai unse Balance Sheet Taiyyar hoti hai.
To is Topic me ham Balance sheet ke bare me hi baat karne wale hai aur samjhenge ki aakhir balance sheet kya hoti hai aur balance sheet ko kaise dekha aur samjha jata hai.
What is balance Sheet
Shuru Karne se pehle hi aapko bata du ki balance sheet topic par main already 4-5 video bana chuka hu. Jiski link aapko is video ke description me aur upar “I” Button me bhi mil jayegi Un video ko Agar aap ek baar dekh lenge to balance sheet ko dekhne aur samjhne me mahir ho jaoge.
Phir bhi is video me bhi main aapko balance sheet ke bare me bahut kuch sikhane wala hu.
Balance Sheet ka Matlab kya hota hai Pehle Ye Bata Deta hu. aapko Balance Word Sunte hi aapke dimag me kya aata hai. Mobile ka balance, bank balance, ya aapke purse me mojud Nakad Rupyo ka balance. Aur Sheet Word Sunte hi aapke dimag me kya aata hai ek tarah ki list jispar kuch likha huwa ho
To Simply Dosto Balance Sheet ka matlab ek Aise Chhithe ya jankari se hota hai jo kisi company ki kul Assets yani sampati aur Liability yani uttardayitv ka Balance Show karta hai arthart particular ek tarikh tak kisi Company ke paas khud ki sampati ka balance kitna hai aur Company se mangne walo ka balance kitna hai ise hi balance sheet kehte hai aur balance sheet ke jariye kisi bhi company ki Financial Condition ko aasani se Check kiya ja sakta hai wo kaise main batata hu but us se pehle hame balance sheet ke 2 point ko samjhna jaruri hai Jinke aadhar par Balance sheet bankar taiyyar hoti hai.
- Liability
- Assets
What is Liability
Halanki Ye Sab topic pehle ham clear kar chuke hai lekin jab balance sheet ki baat chal hi rahi hai to ek baar aur samajh lete hai taki aapko balance sheet se related sari information mil jaye
Liability ka matlab hota hai uttardayitv aur easy language me convert kare to keh sakte hai responsibility ya jimmedari yani wo paisa Jo hamse koi mangta hai ya hame kisi na kisi ko dena hai jo hamari jimmedari hai.
Liability ke under jitney bhi group aate hai un sabke naam se hi ham samajh sakte hai ki in Group ka matlab mangne walo se hai Jaisa ki main aapko pehle hi bata chukka ki tally me kul 28 group hote hai jinme se 6 group se Profit & Loss report taiyyar hoti hai aur baki ke 22 Group se Balance Sheet report Taiyyar hoti hai aur ye jo 22 Group hai unme se 11 Group ka Nature Liability ka hota hai Jo Nimn Parkar hai.
- Bank OD Accounts
- Capital Accounts
- Current Liability
- Duties & Taxes
- Loans Liability
- Provision
- Reserves & Surplus
- Retained Earnings
- Secured Loans
- Sundry Creditors
- Unsecured Loans
In Sabhi Group ko Detail me main Already Samjha chuka I hope ki aap Sabhi ne part 1 me in Sabhi Group ke bare me ache se samjha hoga. Ye sabhi 11 Group aise hai jinka balance badhta hai to iska matlab hota hai ki aapse mangne wale logo ka balance badhega.
What is Assets
Assets ka matlab hota hai Sampati aur easy language me convert kare to keh sakte hai wo paisa Jo hamara hai ya ham kisi se mangte hai.
Assets ke under jitney bhi group aate hai un sabke naam se hi ham samajh sakte hai ki in Group ka matlab hamari kisi na kisi tarah ki sampati se hi hoga to 22 Group me se 11 Group Liability ke hote hai aur baki ke 11 Group assets ke jo nimn prakar hai.
- Bank Accounts
- Branch/Division
- Cash in Hand
- Current Assets
- Deposit Assets
- Fixed Assets
- Investments
- Loan & Advances Assets
- Expenses Assets
- Stock in Hand
- Sundry Debtors
In Sab Group ko bhi main detail me pehle hi samjha chuka hu ye sabhi 11 group Aise Group hai Jinka Balance badhta hai to kisi company ki sampati ka balance badhta hai.
To Dosto kisi bhi tarah ki balance sheet ko samajhne ke liye kewal 2 hi Point kafi hai
- Liability – Yani is Balance sheet me Mangne Wale logo ka balance kitna hai. Ab iske Under jo Mangne wale hai unko in 11 Group me Alag Alag Bant diya jata hai. For Example is Balance sheet me Secured Loan Kitne hai, Unsecured Loan Kitne hai Sundry Creditors kinte hai Wagera wagera
- Assets – Yani is Company ke pass khud ki kitni sampati hai. Aur iske under aane wali jo sampati hai usko bhi 11 Group me alag alag bant diya jata hai for Example Is balance sheet me Cash Balance kitna hai Bank Balance Kitna hai aur Sundry Debtors ka Balance kitna hai.
To dosto ye hai Balance Sheet ki Complete Detail jo maine aapko bata di ummid karta hu ki aap sabhi logo ko bahut hi behtreen dhang se samajh me aai hogi aur ab aapko kisi bhi balance sheet ko dekhna aur samajhna aa jayega.
One comment
Pingback: TallyClasses » Tally Course with GST Full & Free