Hello Dosto swagat hai aap sabhi ka Meri website Tallyclass.com. Par aur yaha se shuru hota hai hamare course ka chapter 13 : What is Ledger in Tally & What is Group in Tally.
Chapter : 13 What is Ledger in tally & What is Group in Tally
Pichle Chapter main hamne Voucher ke bare me sikha tha Ummid karta hu ki aapko wo chapter ache se samajh me aaya hoga. aur is chapter me ham Ledger aur Group ke bare me samjhenge.
Tally ERP 9 me Ledger kya hote hai aur unki kya aur kaha par jarurat padti hai aur sath me Groups ko bhi janenge. to shuru karte hai Ledgers ke sath Let’s Begin.
What is Ledger
Jaisa ki hamne Pichle Chapter me Voucher ke bare me sikha tha Ki aisi prati ya Paper Jis Par kuch likha jata ho use voucher kehte hai.
Ab Phir se Purane jamane me Chalte hai Aur ek Voucher Uthate hai Jisme Jo Bhi Udhar maal Becha Jata hai Usko Likha Jata hai.
Maan lijiye ki wo Udhari ka ek voucher hai.
Ab us voucher ya Register me Rojana Hone Wali Udhar likh raha hu Kuch Is tarah se.
5000/- udhar maal becha 25/10/2019 ko
4500/- udhar maal becha 28/10/2019 ko
5200/- Udhar maal becha 14/11/2019 ko
Ab yaha par sawal ye hai ki mujhe kaise pata chalega ki ye jo maine udhar maal becha hai wo kisko becha hai.
Maine Is voucher me ye to likh diya ki Kab aur kitne rupye ka udhar maal becha lekin ye nahi likha ki kisko becha.
Ab yahi agar is voucher ki Heading me main Us vyakti ka naam likh du jisko maine ye udhar maal becha hai tab ye voucher complete hoga. Jaise
Heading – Anwar Account
5000/- udhar maal becha 25/10/2019 ko
4500/- udhar maal becha 28/10/2019 ko
5200/- Udhar maal becha 14/11/2019 ko
yaha Upar maine Heading laga di aur us vyakti ka naam likh diya jisko maine udhar maal becha to ab main jab bhi heading dekhunga to mujhe pata chal jayega ki maine kisko, kab aur kitne rupye ka maal becha.
To Isiko Bolte hai Ledger Yani Khata.
What is Ledger in Tally
Isi Tarah tally ERP 9 me jab bhi kisi bhi voucher me Entry karte hai To khata kholna Padta hai Jise Tally Ki Language me kehte hai Ledger Create karna.
Ab Maan lijiye ki Mujhe Tally Me Ek Entry Karni hai.
Anwar Ko 25/10/2019 ko 5000 Rs. ka udhar Maal Becha.
Ab Tally ERP9 to Kisi Anwar ko Nahi Janta Ab yaha par aapko Anwar Ka ek Ledger Create Karna Padta hai Taki Anwar ke Naam se udhar maal ki entry ki Ja Sake.
Ab Tally ERP9 me kab aur kaha Par Ledger banaya Jata hai wo ham Aage sikhenge aur Jab Bhi Tally ERP9 me koi naya Ledger Banaya Jata hai use Ek Group me Daalna Padta hai ab ye Group kya hota hai wo Samajhte hai.
What is Group
Jaise ki Hame naam se hi Pata Chal Raha hai Group ka Matlab hota hai Samuh.
Group ko main aapko ek example ke dwara Clearly Samjha Deta hu ki maan lijiye Ye Aapke Saamne India,Australia aur Shri Lanka ke 11-11-11 Khiladi Ek Sath Ghulmilkar Khade hai aur agar main aapse puchu ke batao isme india ka khiladi kaun hai Australia ka Khiladi kaun hai aur shri lanka ka Khiladi kaun hai.
tab Aap ek Ek kar ke bataoge ki ek ye india ka khiladi hai ek ye aur ek ye isi tarah ek ye australia ka khiladi hai ek ye aur ek ye. to aap ek ek karke un khiladiyo ko pehle pehchanoge phir bataoge
Ab yahi maan lijiye ke ye Teeno team ke khiladi 3 alag alag Group Banake Alag Alag Khade ho aur tab main aapse Puchu Ki Batao ki isme India ka Khiladi kaun Australia ka kaun aur Shri Lanka Ka Kaun.
Ab Aap Ek Baar me hi bata doge ki ye Sab Khiladi India ke hai Ye Sab Khiladi Australia ke hai aue ye Sab Khiladi Shri Lanka ke hai. To ye Hota hai Group Aur Group Ka Fayda.
What is Group In Tally ERP9
Bilkul Isi Tarah Hi Tally ERP9 me Group ka Use hai.
Ab Vyapar me Kuch Log Aise Bhi Honge Jo hamse Udhar Maal Leke Jayenge.
Aur Ham Bhi Kisi se Udhar maal Leke Aayenge.
Vyapar me Kuch Kharche Bhi Honge.
Vyapar me kuch Income Bhi Hogi.
to in Sabhi Alag alag Tarah ke Vyavhar ko alag alag rakhne ke liye Sabke Nature ke Hisab se Tally ERP9 me alag alag Group hote hai.
For Example Jo Mujhse Maal Udhar Leke Jaate hai Wo mere Dendar hai.
aur Jinse Main Udhar Maal Leke Jaunga Wo Mere Lendar hai.
To in Dono Ke Alag Alag Group Hai Ek Lendar hai Jise Tally me Sundry Creditors Kehte hai Aur Jo Dendar hai use Sundry Debtors kehte hai.
To Is Prakar Tally ERP9 me Aur Bhi Groups hai. Jab bhi ham koi bhi naya Ledger Banayenge To Usko Ek Group me Daalna Compulsory hai aur Ek Sahi Group ki Pehchan karna Bhi Jaruri hai.
yaani Hamne Agar Dendar Ko Lendar ke Group me Daal Diya. aur Lendar ko Dendar ke Group me Daal Diya to hamari accounting ka kaam bigad jayega isliye ek sahi Group ki Bhi Pehchan Bahut Jaruri hai.
To Ab Tally me Group kaha hote hai aur unka kya use hota hai aur kitne Group hote hai aur Kaunse Ledger me Kaunse Group ko Lena Padta hai Ye Sab ham jaise jaise course ki taraf Badhenge tab sikhenge.
To tab Tak intezar kijiye Mere Agle Chapter ka Bahut jald Milenge. Naye Chapter ke Sath Agar is Chapter ke aap notes Download Karna chahte hai to Di Gai Link Par Click Karke Aap Notes Download Kar Sakte hai.
Watch Video For More Details
Accountent banna chahaten h
KEEP WATCHING MY VIDEO ON YOUTUBE
Sir MS Excel ka complete course uploaded kijiye