Jaisa ki maine aapko bataya ki Bank me Saving Account aur Current Account ke alawa bhi dusre Bank Account hote hai unhi me se ek hota hai Bank OD Account Jise ham Bank OCC Account bhi keh sakte hai. to ab main aapko Bataung ki Bank OD Account Group in Tally me kaun kaun se Ledger bante hai. Hello & Welcome to My Website & Let’s Begin.
Chapter 40 : What is Bank OD Account Group in Tally
Sabse Pehle main Aapko batana chahta hu ki Tally me 2 Group hai
- Bank OD Account
- Bank OCC Account
in Dono ka matlab ek hi hota hai in dono me se koi bhi Group le Sakte hai aur inki full Form kuch is prakar hai.
Bank OD Account ka Matlab hota hai – Bank Over Draft Account
Bank OCC Account ka Matlab hota hai – Bank Open Cash Credit Account
ye dono Account Loan ki Tarah hi hote hai lekin Loan Account me aur OD Account me bahut Fark hai.
to sabse pehle Bank OD Account ka concept Clear karte hai ki bank OD Account hota kya hai.
What is Bank OD Account
is tarah ke account me Bank hame Loan ke Jaise paise use karne ke liye limit deti hai maan lijiye wo limit 1 lakh rupye ki hai aur is limit ke sath hi hamara bank me ek Account shuru ho jata hai jise Bank OD Account kehte hai.
ab Jab tak ye 1 Lakh rupye usi Bank OD Account me Pade hai tab tak hamare ek rupya bhi byaz nahi lagta aur bank hamse ek rupya bhi nahi mangta.
ab usi Account me se maan lijiye hamne business use ke liye 30000 Rupye Nikal Liye to Ab Bank Hamse 30000 Rs. mangega aur jab tak ham wo 30000 rs. Bank me Wapas Nahi jama karwate tab tak kewal 30000 Rs. par hi Byaz Lagega na ki 1 lakh par
aur ye 30000 Rs. Jab aap wapas jama karwa denge tab se aapka 30000 rs par bhi byaz lagna band ho jayega.
isi kehte hai Bank OD Account Jisme Bank Dwara jitne Bhi Rupye ki Limit di Jati hai Utne Rupye ham Use kar Sakte hai aur Un rupye me se jitne bhi paise use karte hai kewal utne hi rupye par byaz lagta hai aur jaise hi wo rupye wapas jama karwa denge to byaz bhi lagna band ho jayega.
Bahut se log Aise Ledger ko Loan Account ke Group me Daal dete hai jabki ye galat hai aur in dono me Bahut Fark hota hai.
Difference Between Bank OD Account & Bank Loan Account
Bank OD Account | Bank Loan Account |
---|---|
Bank Dwara Paisa Use karne ke liye Kuch limit di jati hai Jise Bank OD Account kehte hai. | Jab Bank Dwara Loan Diya jata hai to use bank loan account kehte hai |
Jab tak aap limit ka ek rupya bhi use nahi karte tab tak aapko koi byaz nahi lagta | Loan hone ke baad chahe aap rupye use karo ya na karo byaz lagna shuru ho jata hai. |
Jitne rupye use karoge utne rupye par hi byaz lagega aur utne rupye hi wapas lautane hai. | chahe aap 1 paisa use karo pure loan account par byaz lagta hai aur pure paise wapas lautane padte hai. |
mahine ki koi bhi kist nahi hoti hai. | isme har mahine ki fix EMI hoti hai jo time par jama karwani padti hai. |
to is post se simply me aapko ye samjhana chahta hu ki
Bank me Saving Account Ya Current Account Alag Khata hai.
OD Account ya OCC Account Alag Khata hota Hai.
aur Loan Account bhi Alag Khata hota hai.
Ye teeno hi alag alag Account hai aur inke Group bhi Alag Alag hote hai.
Bank OD Account me Kaun Kaun se Ledger Bante hai
Ab main Aapko Ye Bata Deta hu ki Kaun Kaun se Ledger Bank OD Account ya Bank OCC account me Bante hai
Ledger Name | Group Name |
---|---|
Any Bank OD Account | Bank OD Account |
Any Bank OCC Account | Bank OD Account |
Any Bank Credit Card Account | Bank OD Account |
to Dosto ye 3 hi tarah ke Account hai Jinka Ledger Bank OD Account ke Group me Banta hai ab baki ke jo bank Loan account hai unka Kaunsa Group hai to wo ham aage Sikhenge.
Bank OD Account Group Nature
Agar Aapne Kisi Bank se CC Limit, OD Limit ya Credit Card liya huwa hai aur Aap us Limit se Paise Use kar Rahe ho To Simple si Baat hai ki jinte bhi Paise Aapne Limit Account ya Credit card se Use kiye wo Wapas Aapke Lautane hai.
Is Basis par Bank OD Account ka Nature Liability ka hota hai.
Watch Video For More Details
Is Chapter ke PDF Notes Yaha se Download Kare
Baki Ke Chapter dekhne ke liye Di Gai link Par Click Kare
Very excellent