Badhte hai agle Group ke taraf aur is post me ham Cash in hand Group in tally ke bare me Detail me Samjhenge Most Welcome to My Website TallyClass & Let’s Begin.
Chapter 41 : Cash in Hand Group in Tally
Waise to Cash in Hand Group me Kewal ek hi Ledger Banta hai jiska naam hai Cash aur ye bhi Pehle se bana huwa hota hai. 90% jagah par Cash Account ka jo Ledger pehle se bana huwa hota hai wahi use kiya jata hai.
10 % Case me Bahut se Accountant Cash in Hand Group me kaam aane wala ek Ledger aur banate hai Jiska naam Hai Petty Cash.
Petty Cash ka ledger Bhi Cash in Hand Group me banta hai. Ab Petty Cash hota kya hai wo Samajh Lete hai.
What is Petty Cash
Maan Lijiye ek Badi Company hai jaha par Jo Bhi Paisa aata ha wo Direct Bank me hi Aata hai Cash me Rupye Prapt hi nahi hote. ab Company me Kuch Kharche Aise hote hai jiske liye hame Cash Dena Padta hai jabki Company me Cash Balance aata hi nahi hai.
is Condition me Company ka manager Accountant ko Next 1 Month ke liye Cash me Hone Wale Kharcho ke Liye Kuch nakad rupye deta hai Jise Petty cash Kehte hai.
aur Petty cash Ka Ledger cash in Hand Group ke under Banaya Jata hai. Ab accountant ko next 1 month me jo bhi cash me kharche honge wo Petty cash me se dega.
aur After 1 month Manager Accountant se Petty Cash ka Pura Hisab leta hai Kitne Rupye diye aur Kitne Rupye ka Kharcha huwa aur kitne Rupye Balance piche Bacha hai.
Cash in Hand Group me Ban ne Wale Ledger
Ledger Name | Group Name |
---|---|
Cash | Cash in Hand |
Petty Cash | Cash in Hand |
2 hi Ledger hai jo Cash in Hand Group me Bante hai.
Cash in Hand Group ka Nature Kya hota hai.
jo Bhi Cash Balance hamare pass hota hai wo hamari sampati hoti hai aur un Rupyo par hamara haq hota hai to is Basis par cash in hand Group ka Nature Assets ka hota hai.
Is Chapter ke PDF Notes aap yaha se Download Kar Sakte hai.
Course ke Dusre Chapter aap Di Gai Link Par Click karke bhi Dekh Sakte hai.