Jaisa ki maine aapko bataya ki Ledger Banate Waqt ek Sahi Group ke Pehchan karni bahut jaruri hai & Main Aapko Bataunga ki Kaunse Group me Kaunsa Ledger Banta hai.
Shuru Karte hai ham Bank Account Group in Tally se. Hello & Welcome to My Website & Let’s Begin.
Chapter 39 : What is Bank Account Group in Tally
one By one ham Tally me Jitne bhi Group hote hai un Sabka Concept Clear karenge aur sath me ye bhi janege ki kis Group ka Kya nature hota hai aur phir Baad me in Sabhi Group ki Entry bhi Karna Sikhenge
to Sabse Pehle main Aapko batana chahta hu ki Bank account 2 tarah ke hote hai.
- Bank Saving Account
- Bank Current Account
in 2 ke alawa bhi bank me aapko dusre bhi account ho sakte hai jaise
- Bank FD Account
- RD Account
- Loan Account
- OD Account
Lekin Ye Bank Account nahi hai Bank Account ka matlab hota hai Aisa khata jisme ham Paise jama karwate hai aur Nikalwate hai Jisme ham kabhi bhi kuch bhi len den kar sakte hai.
Difference Between Saving Account & Current Account
Ab Saving Account aur Current account me main apko fark Bata deta hu
Bank Saving Account | Bank Current Account |
---|---|
Saving Account Vyakti ke naam par Hota hai | Jabki Current Account Firm ke naam par hota hai. |
Saving Account me Paisa jama karwane ki ek Limit hoti hai. Bachat se Jyada Paise Jama Karwane par Income Tax ka Notice Mil Sakta hai. | Jabki Current Account me jitni bhi Business me Cash aati hai wo Sab Jama Karwa Sakte hai. |
Saving Account me jama Karwaye Gaye Paiso Par Byaz Milta hai. | Current Account me jama Karwaye Gaye Paiso par Koi Byaz nahi Milta |
Saving Account me Bank Dwara PassBook di jati hai. | Jabki Current Account me PassBook ki Jagah statement Diya jata hai. |
Which Ledger Creates in Bank Account Group
kaun kaunse Ledger is Group me Bante hai Aaiye Dekhte hai.
Ledger Name | Group Name |
---|---|
Any Bank Saving Account | Bank Account |
Any Bank Current Account | Bank Account |
to dosto 2 hi tarah ke Ledger hote hai Jinka Ledger Bank Account ke group me Banta hai.
Bank Account Group ka Nature Kya Hota Hai ?
Saving Account ho Ya current account usme Jo paisa Deposit hota hai wo hamari Sampati hoti hai aur Un Paiso Par hamara haq hota hai.
to is Basis par Bank Account ka Jo Nature hota hai Wo Assets ka nature hota hai aur Balance Sheet me Assets ki side me show hota hai.
Watch Video For More Details
Is chapter ke PDF Notes yaha se Download Kare
Baki ke Dusre Chapter aap di Gai Link Par Click Karke Dekh Sakte hai.
Sir
Jab m Bank ki Entry or Bank LOAN ki entry kr rahu
To mera m Cr or Dr. Nhi aa raha…. Sir bataye ga kasa…..
Sir give me solution….